DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Jawani

Poetry Collection

Ash'aar

Firaq Gorakhpuri
raat bhi niind bhi kahani bhi haae kya chiiz hai javani bhi...
Dagh Dehlvi
ik ada mastana sar se paanv tak chhai hui uf tiri kafir javani josh par aai hui...
Akbar Allahabadi
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye kah do be is ke javani ka maza milta nahin...
Akbar Allahabadi
javani ki dua laDkon ko na-haq log dete hain yahi laDke miTate hain javani ko javan ho kar...
Akbar Allahabadi
javani ki hai aamad sharm se jhuk sakti hain aankhen magar siine ka fitna ruk nahin sakta ubharne se...
Josh Malihabadi
kisi ka ahd-e-javani mein parsa hona qasam khuda ki ye tauhin hai javani ki...
Ameer Minai
hai javani khud javani ka singar sadgi gahna hai is sin ke liye...
Asrarul Haq Majaz
kyun javani ki mujhe yaad aai main ne ik khvab sa dekha kya tha...
Hafeez Jalandhari
tasavvur mein bhi ab vo be-naqab aate nahin mujh tak qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya...
Abdul Hamid Adam
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin jaa mai-kade se meri jawani utha ke laa...
Abdul Hamid Adam
naujawani mein parsa hona kaisa kar-e-zaboon hai pyare...
Abdul Hamid Adam
wo ahd-e-jawani wo kharabat ka aalam naghmat mein doobi hui barsaat ka aalam...
Khumar Barabankavi
kya jawani gayi janab-e-'khumar' kaise tauba ki baat yaad aayi...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan