DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Kaaba
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
kaaba kis munh se jaoge ghalib sharm tum ko magar nahin aati...
Mirza Ghalib
vafa-dari ba-shart-e-ustuvari asl iman hai mare but-khane mein to kaabe mein gaDo birhman ko...
Akbar Allahabadi
sidharen shaikh kaaba ko ham inglistan dekhenge vo dekhen ghar khuda ka ham khuda ki shaan dekhenge...
Akbar Allahabadi
vaah kya raah dikhai hai hamein murshid ne kar diya kaabe ko gum aur kalisa na mila...
Akbar Allahabadi
kaabe se jo but nikle bhi to kya kaaba hi gaya jo dil se nikal afsos ki but bhi ham se chhuTe qabze se khuda ka ghar bhi gaya...
Qateel Shifai
nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na but-khana to Thukrae hue insan khuda jaane kahan jaate...
Ameer Minai
taraf-e-kaaba na ja haj ke liye nadan hai ghaur kar dekh ki hai khana-e-dil maskan-e-dost...
Ameer Minai
shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald raah mein but-khana paDta hai ilahi kya karun...
Ameer Minai
kaaba bhi ham gae na gaya par buton ka ishq is dard ki khuda ke bhi ghar mein dava nahin...
Daya Shankar Naseem
buton ki gali chhoD kar kaun jaae yahin se hai kaaba ko sajda hamara...
Bahadur Shah Zafar
khuda ke vaste zahid uTha parda na kabe ka kahin aisa na ho yaan bhi vahi kafir-sanam nikle...
Mohammad Rafi Sauda
gharaz kufr se kuchh na diin se hai matlab tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain...
Abdul Hamid Adam
main yun talash-e-yaar mein deewana ho gaya kaabe mein paanv rakkha to but-khana ho gaya...
Yagana Changezi
kaaba nahin ki saari khudai ko dakhl ho dil mein siwae yaar kisi ka guzar nahin...
Ghazalein
Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-Butan Ki Hai
(Dagh Dehlvi)
Explore more on Diwan E Sukhan