DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Madness
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
bak raha hun junun mein kya kya kuchh kuchh na samjhe khuda kare koi...
Mirza Ghalib
ishq mujh ko nahin vahshat hi sahi meri vahshat tiri shohrat hi sahi...
Ahmad Faraz
muddaten ho gain faraz magar vo jo divangi ki thi hai abhi...
Jigar Moradabadi
aadat ke baad dard bhi dene laga maza hans hans ke aah aah kiye ja raha hun main...
Jigar Moradabadi
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin ik tiri yaad thi aisi jo bhulai na gai...
Bashir Badr
tum mujhe chhoD ke jaoge to mar jaunga yun karo jaane se pahle mujhe pagal kar do...
Shakeel Badayuni
koi ai shakeel puchhe ye junun nahin to kya hai ki usi ke ho gae ham jo na ho saka hamara...
Ibn-e-Insha
ik saal gaya ik saal naya hai aane ko par vaqt ka ab bhi hosh nahin divane ko...
Ibn-e-Insha
ek se ek junun ka maara is basti mein rahta hai ek hamin hushiyar the yaaro ek hamin bad-naam hue...
Zehra Nigah
divanon ko ab vusat-e-sahra nahin darkar vahshat ke liye saya-e-divar bahut hai...
Daya Shankar Naseem
junun ki chaak-zani ne asar kiya vaan bhi jo khat mein haal likha tha vo khat ka haal hua...
Asrarul Haq Majaz
kamal-e-ishq hai divana ho gaya hun main ye kis ke haath se daaman chhuDa raha hun main...
Siraj Aurangabadi
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi...
Siraj Aurangabadi
main hun to divana pa kisi zulf ka nahin hun vallah ki rakhta nahin yak taar kisi ka...
Mohammad Rafi Sauda
dikhaunga tuje zahid us aafat-e-diin ko khalal dimagh mein tere hai parsai ka...
Mohammad Rafi Sauda
hai muddaton se khana-e-zanjir be-sada malum hi nahin ki divane kidhar gae...
Noshi Gilani
dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin aankhen pagal ho jaati hain ek khayal se pahle...
Ali Zaryoun
kya hai jo mujhe hukm nahin manne aate divana to hota hi baghavat ke liye hai...
Meena Kumari Naaz
Yun teri rahguzar se deewana-waar guzre Kandhe pe apne rakh ke apna mazaar guzre...
Nadim Nadeem
Vahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein Pedon ki shakl mein ye mire char-su ho tum...
Abdul Hamid Adam
thodi si aql laaye the ham bhi magar 'adam' duniya ke hadsat ne deewana kar diya...
Abdul Hamid Adam
log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe tum jo kahte ho ki wahshat hai to wahshat hogi...
Adil Mansuri
bismil ke tadapne ki adaon mein nasha tha main haath mein talwar liye jhoom raha tha...
Ahmad Mushtaq
naye deewanon ko dekhen to khushi hoti hai hum bhi aise hi the jab aaye the veerane mein...
Ahmad Mushtaq
sang uthana to badi baat hai ab shahr ke log aankh utha kar bhi nahin dekhte deewane ko...
Irfan Siddiqi
wo jo ik shart thi wahshat ki utha di gai kya meri basti kisi sahra mein basa di gai kya...
Irfan Siddiqi
ham bade ahl-e-khirad bante the ye kya ho gaya aql ka har mashwara deewana-pan lagne laga...
Irfan Siddiqi
us ko rahta hai hamesha mari wahshat ka khayal mere gum-gashta ghazalon ka pata chahti hai...
Khalilur Rahman Azmi
tumhare paas ik wahshi ne ye paigham bheja hai ki ab hijran-naseebon ko bhula dena hi achchha hai...
Saqi Faruqi
subh tak raat ki zanjeer pighal jayegi log pagal hain sitaron se ulajhna kaisa...
Shad Azimabadi
dekhne wale ko tere dekhne aate hain log jo kashish tujh me thi ab wo tere deewane mein hai...
Shad Azimabadi
kahte hain ahl-e-hosh jab afsana aap ka hansta hai dekh dekh ke deewana aap ka...
Shariq Kaifi
kya mila dasht mein aa kar tire deewane ko ghar ke jaisa hi agar jaagna sona hai yahan...
Yagana Changezi
sab tire siwa kafir aakhir is ka matlab kya sar phira de insan ka aisa khabt-e-mazhab kya...
Yagana Changezi
deewana-vaar daud ke koi lipat na jaye aankhon mein aankhein daal ke dekha na kijiye...
Yagana Changezi
aa rahi hai ye sada kaan mein veeranon se kal ki hai baat ki aabad the deewanon se...
Nazeer Akbarabadi
bagh mein lagta nahin sahra se ghabrata hai dil ab kahan le ja ke baithein aise deewane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
deewangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz hai halqa-e-zanjeer se zindan hama-tan-chashm...
Ismail Merathi
kya kohkan ki koh-kani kya junoon-e-qais vadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain...
Explore more on Diwan E Sukhan