DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Observation
Poetry Collection
Ash'aar
Muneer Niyazi
thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun main bas ki khiDkiyon se ye tamashe dekh leta hun...
Ahmad Mushtaq
ham un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aaye wo apne dhyan mein baithe hue achchhe lage ham ko...
Mohammad Alvi
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar paani mein raushni ko utarte hue bhi dekh...
Mohammad Alvi
chala jaunga jaise khud ko tanha chhod kar 'alvi' main apne aap ko raaton mein uth kar dekh leta hoon...
Mohammad Alvi
use main ne bhi kal dekha tha 'alvi' naye kapde pahan ke ja raha tha...
Shad Azimabadi
kahte hain ahl-e-hosh jab afsana aap ka hansta hai dekh dekh ke deewana aap ka...
Shariq Kaifi
ruka mahfil mein itni der tak main ujalon ka budhapa dekh aaya...
Ismail Merathi
apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin ghaur se dekh agar aankh mein beenai hai...
Explore more on Diwan E Sukhan