DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Ocean

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana dard ka had se guzarna hai dava ho jaana...
Mirza Ghalib
hue mar ke ham jo rusva hue kyun na gharq-e-dariya na kabhi janaza uThta na kahin mazar hota...
Allama Iqbal
tu hai muhit-e-be-karan main hun zara si aabju ya mujhe ham-kanar kar ya mujhe be-kanar kar...
Tehzeeb Hafi
Apni masti mein bahta dariya hoon Main kinara bhi hoon bhanwar bhi hoon...
Tehzeeb Hafi
Baitha rehta tha sahil pe saara din Dariya mujh se jaan chhudaya karta tha...
Umair Najmi
Us ki tah se kabhi daryaaft kiya jaunga main Jis samundar mein ye sailaab ikatthe honge...
Adil Mansuri
ab tootne hi wala hai tanhai ka hisar ik shakhs cheekhta hai samundar ke aar-paar...
Irfan Siddiqi
sar agar sar hai to nezon se shikayat kaisi dil agar dil hai to dariya se bada hona hai...
Mohammad Alvi
nazron se napta hai samundar ki wusatein sahil pe ik shakhs akela khada hua...
Saqi Faruqi
mujh mein saat samundar shor machate hain ek khayal ne dahshat phaila rakhi hai...
Saqi Faruqi
ye kaisi baat hui hai ki dekh kar khush hai wo aansuon ke samundar ke darmiyan mujhe...
Saqi Faruqi
magar un seepiyon mein paniyon ka shor kaisa tha samundar sunte sunte kaan bahre kar liye ham ne...
Shad Azimabadi
main shad tanha ik taraf duniya ki duniya ik taraf sara samunder ik taraf aansoo ka qatra ik taraf...
Shad Azimabadi
main hairat o hasrat ka maara khamosh khada hoon sahil par dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain ham...
Ismail Merathi
khwahishon ne dubo diya dil ko warna ye bahr-e-be-karan hota...
Aziz Bano Darab Wafa
main bhi sahil ki tarah toot ke bah jaati hoon jab sada de ke bulata hai samundar mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan