DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Painful love
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ragon mein dauDte phirne ke ham nahin qail jab aankh hi se na Tapka to phir lahu kya hai...
Mirza Ghalib
kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota...
Meer Taqi Meer
hamare aage tira jab kisu ne naam liya dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liya...
Meer Taqi Meer
dekh to dil ki jaan se uThta hai ye dhuan sa kahan se uThta hai...
Jaun Elia
jism mein aag laga dun us ke aur phir khud hi bujha dun us ko...
Jaun Elia
ho kabhi to sharab-e-vasl nasib piye jaun main khuun hi kab tak...
Jaun Elia
main sahun karb-e-zindagi kab tak rahe aakhir tiri kami kab tak...
Momin Khan Momin
haal-e-dil yaar ko likhun kyunkar haath dil se juda nahin hota...
Dagh Dehlvi
haath rakh kar jo vo puchhe dil-e-betab ka haal ho bhi aaram to kah dun mujhe aaram nahin...
Akbar Allahabadi
kya hi rah rah ke tabiat miri ghabrati hai maut aati hai shab-e-hijr na niind aati hai...
Josh Malihabadi
soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya...
Jigar Moradabadi
aaj na jaane raaz ye kya hai hijr ki raat aur itni raushan...
Hasrat Mohani
aise bigDe ki phir jafa bhi na ki dushmani ka bhi haq ada na hua...
Munawwar Rana
tujhe maalum hai in phephaDon mein zakhm aae hain tiri yaadon ki ik nannhi si chingari bachane mein...
Shakeel Badayuni
mujhe chhoD de mere haal par tira kya bharosa hai charagar ye tiri navazish-e-mukhtasar mera dard aur baDha na de...
Nasir Kazmi
is qadar roya hun teri yaad mein aaine aankhon ke dhundle ho gae...
Mohsin Naqvi
vafa ki kaun si manzil pe us ne chhoDa tha ki vo to yaad hamein bhuul kar bhi aata hai...
Gulzar
jis ki aankhon mein kaTi thiin sadiyan us ne sadiyon ki judai di hai...
Zehra Nigah
gham apne hi ashkon ka kharida hua hai dil apni hi haalat ka tamashai hai dekho...
Ada Jafarey
na bahlava na samjhauta judai si judai hai ada socho to khushbu ka safar aasan nahin hota...
Kishwar Naheed
malal us ko bhi tha aur udaas ham bhi the ye kaisi pahli mulaqat thi ki gham bhi the...
Asrarul Haq Majaz
hijr mein kaif-e-iztirab na puchh khun-e-dil bhi sharab hona tha...
Siraj Aurangabadi
mujh kun har aan tire dard sin bahbudi hai ishq-bazi mein rukh-e-zard zar-e-sudi hai...
Shahryar
gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai saunp do ham ko agar tum se nigahbani na ho...
Bahadur Shah Zafar
le gaya chhin ke kaun aaj tira sabr o qarar be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi...
Bahadur Shah Zafar
saham kar ai zafar us shokh kaman-dar se kah khinch kar dekh mire siine se tu tiir na toD...
Farhat Ehsas
use khabar thi ki ham visal aur hijr ik saath chahte hain to us ne aadha ujaaD rakkha hai aur aadha bana diya hai...
Tehzeeb Hafi
Log kehte hain tahzeeb hafi use chhod kar theek hai Hijr itna hi aasan hota to taunsa nahin chhodta...
Shaikh Ibrahim Zauq
maze jo maut ke aashiq bayan kabhu karte masih o khizr bhi marne ki aarzu karte...
Explore more on Diwan E Sukhan