DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Patience
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ranj se khugar hua insan to miT jaata hai ranj mushkilen mujh par paDin itni ki aasan ho gain...
Mirza Ghalib
aah ko chahiye ik umr asar hote tak kaun jiita hai tiri zulf ke sar hote tak...
Mirza Ghalib
aashiqi sabr-talab aur tamanna betab dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak...
Ahmad Faraz
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz zalim ab ke bhi na roega to mar jaega...
Dagh Dehlvi
dil hi to hai na aae kyun dam hi to hai na jaae kyun ham ko khuda jo sabr de tujh sa hasin banae kyun...
Nasir Kazmi
rah-navard-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar karvan phir milenge baham sabr kar sabr kar...
Farhat Ehsas
phir soch ke ye sabr kiya ahl-e-havas ne bas ek mahina hi to ramzan rahega...
Farhat Ehsas
main jab kabhi us se puchhta hun ki yaar marham kahan hai mera to vaqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai...
Mohsin Sahil
Sabar ka phal meetha hota hai suna hai maine Lekin is intezar mein sadiyan guzar gayi hain...
Athar Aalam
Mujhe bhi shauq hai izzat-o-shohrat-o-daulat ka Lekin main teri tarah be-qarar nahi hoon...
Adil Mansuri
khud-ba-khud shaakh lachak jayegi phal se bharpur to ho lene do...
Ahmad Mushtaq
umr bhar dukh sahte sahte aakhir itna to hua apni chup ko dekh leta hoon sada bante hue...
Irfan Siddiqi
hawa-e-koofa-e-na-mehrban ko hairat hai ki log khema-e-sabr-o-raza mein zinda hain...
Saghar Siddiqui
ai dil-e-be-qarar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja...
Saqi Faruqi
ajab ki sabr ki miad badhti jaati hai ye kaun log hain fariyaad kyun nahin karte...
Shad Azimabadi
khamoshi se musibat aur bhi sangeen hoti hai tadap ai dil tadapne se zara taskeen hoti hai...
Shad Azimabadi
kahan se lauan sabr-e-hazrat-e-ayyoob ai saaqi khum aayega surahi aayegi tab jaam aayega...
Shad Azimabadi
nazuk tha bahut kuchh dil mera ai shad tahammul ho na saka ik thes lagi thi yun hi si kya jald ye sheesha toot gaya...
Yagana Changezi
musibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jayega mujhe sar maar kar teshe se mar jaana nahin aata...
Yagana Changezi
sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahl hai apne bas ka kaam kar leta hoon aasan dekh kar...
Nazeer Akbarabadi
kahin baithne de dil ab mujhe jo hawas tuk main baja karun nahin taab mujh mein ki jab talak tu phire to main bhi phira karun...
Ismail Merathi
maana buri khabar hai pa teri khabar to hai sabr-o-qarar nazr karun nama-bar ko main...
Explore more on Diwan E Sukhan