Relationships

Poetry Collection

ایک ہم خود کے ہیں اک گھر کے ہیں اک دنیا کے
تم اگر پا بھی سکو گے تو ہمیں چوتھائی
एक हम ख़ुद के हैं इक घर के हैं इक दुनिया के
तुम अगर पा भी सकोगे तो हमें चौथाई
Ek ham khud ke hain ik ghar ke hain ik duniya ke
Tum agar pa bhi sakoge to hamein chauthai
اپنوں سے بھی اتنا تکلف
کتنے دنیا دار بنے ہو
अपनों से भी इतना तकल्लुफ़
कितने दुनिया-दार बने हो
apnon se bhi itna takalluf
kitne duniya-dar bane ho
گناہ کیا ہے مرا پہلے انکشاف کرو
اور اس کے بعد سزا دو یا پھر معاف کرو

یہ میں بھی مان ہی لوں گا کہ کچھ غلط تھا میں
مگر تم اپنی بھی غلطی کا اعتراف کرو

چلو کہ پھر سے نئے عشق کی کریں شروعات
چلو جو دل میں کدورت ہے اس کو صاف کرو

اڑا رہوں گا ادھر میں بھی ناشناسی پر
ادھر تم اپنے تعلق سے انحراف کرو

محبتوں میں انا کام کس کے آئی ہے
ہر ایک بات سے میری نہ اختلاف کرو

یہ خانقاہِ محبت ہے دل مرا ساحل
عمل یہاں جو کرو عقل کے خلاف کرو
गुनाह क्या है मिरा पहले इंकिशाफ़ करो
और उस के बाद सज़ा दो या फिर मुआफ़ करो

ये मैं भी मान ही लूँगा कि कुछ ग़लत था मैं
मगर तुम अपनी भी ग़लती का ए'तिराफ़ करो

चलो कि फिर से नए इश्क़ की करें शुरुआत
चलो जो दिल में कुदूरत है उस को साफ़ करो

अड़ा रहूँगा इधर मैं भी ना-शनासी पर
उधर तुम अपने तअल्लुक़ से इनहिराफ़ करो

मोहब्बतों में अना काम किस के आई है
हर एक बात से मेरी न इख़्तिलाफ़ करो

ये ख़ानक़ाह-ए-मोहब्बत है दिल मिरा 'साहिल'
अमल यहाँ जो करो अक़्ल के ख़िलाफ़ करो
Gunah kya hai mera pehle inkishaf karo
Aur us ke baad saza do ya phir maaf karo

Ye main bhi maan hi loonga ki kuch ghalat tha main
Magar tum apni bhi ghalti ka eteraf karo

Chalo ki phir se naye ishq ki karein shuruat
Chalo jo dil mein kudoorat hai us ko saaf karo

Ada rahunga idhar main bhi na-shanasi par
Udhar tum apne taalluq se inhiraf karo

Mohabbaton mein ana kaam kis ke aayi hai
Har ek baat se meri na ikhtilaf karo

Ye khanqah-e-mohabbat hai dil mera sahil
Amal yahan jo karo aql ke khilaf karo
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message