DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Romantic exaggeration
Poetry Collection
Ash'aar
Ameer Minai
allah-re us gul ki kalai ki nazakat bal kha gai jab bojh paDa rang-e-hina ka...
Ameer Minai
allah-ri nazakat-e-janan ki sher mein mazmun bandha kamar ka to dard-e-kamar hua...
Siraj Aurangabadi
kahte hain tiri zulf kun dekh ahl-e-shariat qurban hai is kufr par iman hamara...
Siraj Aurangabadi
nazar aata nahin mujh kun sabab kya mira nazuk badan haihat haihat...
Khwaja Meer Dard
jaan se ho gae badan khaali jis taraf tu ne aankh bhar dekha...
Mohammad Rafi Sauda
na jiya teri chashm ka maara na tiri zulf ka bandha chhuuTa...
Mohammad Rafi Sauda
abas tu ghar basata hai miri aankhon mein ai pyaare kisi ne aaj tak dekha bhi hai paani pe ghar Thahra...
Mohammad Rafi Sauda
shakh mein gul ki nazakat ye baham pahunchi hai shama-saan garmi-e-nazzara se jaati hai pighal...
Muneer Niyazi
apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya chaand ne paani mein dekha aur pagal ho gaya...
Shaikh Ibrahim Zauq
naaz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq' us ne dekhe hi nahin naaz-o-nazakat vaale...
Shaikh Ibrahim Zauq
shukr parde hi mein us but ko haya ne rakkha varna iman gaya hi tha khuda ne rakkha...
Hafeez Jalandhari
tasavvur mein bhi ab vo be-naqab aate nahin mujh tak qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya...
Explore more on Diwan E Sukhan