DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Sad aesthetic text
Poetry Collection
Ash'aar
Meer Taqi Meer
zindan mein bhi shorish na gai apne junun ki ab sang mudava hai is aashufta-sari ka...
Allama Iqbal
mohabbat ke liye dil dhunDh koi TuuTne vaala ye vo mai hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein...
Jaun Elia
yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya...
Jaun Elia
main raha umr bhar juda khud se yaad main khud ko umr bhar aaya...
Jaun Elia
phir us gali se apna guzar chahta hai dil ab us gali ko kaun si basti se laun main...
Jaun Elia
kya hue surat-nigaran khvab ke khvab ke surat-nigaran kya hue...
Momin Khan Momin
thi vasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab vo aae to bhi niind na aai tamam shab...
Momin Khan Momin
momin main apne nalon ke sadqe ki kahte hain us ko bhi aaj niind na aai tamam shab...
Sahir Ludhianvi
un ka gham un ka tasavvur un ke shikve ab kahan ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai...
Firaq Gorakhpuri
tere aane ki kya umid magar kaise kah dun ki intizar nahin...
Firaq Gorakhpuri
taara TuTte sab ne dekha ye nahin dekha ek ne bhi kis ki aankh se aansu Tapka kis ka sahaara TuuT gaya...
Dagh Dehlvi
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand...
Akbar Allahabadi
dil vo hai ki fariyad se labrez hai har vaqt ham vo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete...
Josh Malihabadi
mere rone ka jis mein qissa hai umr ka behtarin hissa hai...
Jigar Moradabadi
ab to ye bhi nahin raha ehsas dard hota hai ya nahin hota...
Jigar Moradabadi
masarrat zindagi ka dusra naam masarrat ki tamanna mustaqil gham...
Jigar Moradabadi
saaz-e-ulfat chhiD raha hai aansuon ke saaz par muskurae ham to un ko bad-gumani ho gai...
Jigar Moradabadi
kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyaas apni isi tapte hue sahra ko ham dariya samajhte hain...
Hasrat Mohani
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain...
Hasrat Mohani
hai intiha-e-yaas bhi ik ibtida-e-shauq phir aa gae vahin pe chale the jahan se ham...
Hasrat Mohani
dilon ko fikr-e-do-aalam se kar diya aazad tire junun ka khuda silsila daraz kare...
Bashir Badr
main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do tumhari tarah se koi gale lagae mujhe...
Bashir Badr
sab log apne apne khudaon ko laae the ik ham hi aise the ki hamara khuda na tha...
Wasi Shah
har ek mausam mein raushni si bikherte hain tumhare gham ke charagh meri udasiyon mein...
Kaifi Azmi
labon se uD gaya jugnu ki tarah naam us ka sahara ab mire ghar mein na raushni ka raha...
Qateel Shifai
na chhanv karne ko hai vo aanchal na chain lene ko hain vo banhein musafiron ke qarib aa kar har ik basera palaT gaya hai...
Nida Fazli
ab kisi se bhi shikayat na rahi jaane kis kis se gila tha pahle...
Nida Fazli
gham hai aavara akele mein bhaTak jaata hai jis jagah rahiye vahan milte-milate rahiye...
Nida Fazli
charagh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta...
Munawwar Rana
hans ke milta hai magar kaafi thaki lagti hain us ki aankhen kai sadiyon ki jagi lagti hain...
Munawwar Rana
ham sab ki jo dua thi use sun liya gaya phulon ki tarah aap ko bhi chun liya gaya...
Shakeel Badayuni
gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yaar mein hai ye vo khizan hai jo Dubi hui bahaar mein hai...
Shakeel Badayuni
nazar-navaz nazaron mein ji nahin lagta vo kya gae ki baharon mein ji nahin lagta...
Nasir Kazmi
is shahr-e-be-charagh mein jaegi tu kahan aa ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen...
Nasir Kazmi
kuchh khabar le ki teri mahfil se duur baiTha hai jaan-ba-lab koi...
Mohsin Naqvi
kal thake-haare parindon ne nasihat ki mujhe shaam Dhal jaae to mohsin tum bhi ghar jaaya karo...
Gulzar
zakhm kahte hain dil ka gahna hai dard dil ka libas hota hai...
Habib Jalib
un ke aane ke baad bhi jalib der tak un ka intizar raha...
Habib Jalib
apni to dastan hai bas itni gham uThae hain shairi ki hai...
Ibn-e-Insha
vahshat-e-dil ke kharidar bhi napaid hue kaun ab ishq ke bazar mein kholega dukan...
Zehra Nigah
dil bujhne laga aatish-e-rukhsar ke hote tanha nazar aate hain gham-e-yaar ke hote...
Ada Jafarey
koi taair idhar nahin aata kaisi taqsir is makan se hui...
Kishwar Naheed
kaun jaane ki uDti hui dhuup bhi kis taraf kaun si manzilon mein gai...
Ameer Minai
kabab-e-sikh hain ham karvaTen har-su badalte hain jal uThta hai jo ye pahlu to vo pahlu badalte hain...
Ameer Minai
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash muddat hui gharib vatan se nikal gaya...
Ameer Minai
roz-o-shab yaan ek si hai raushni dil ke daghon ka charaghan aur hai...
Jan Nisar Akhtar
ab ye bhi nahin thiik ki har dard miTa den kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain...
Ali Sardar Jafri
shab ke sannaTe mein ye kis ka lahu gaata hai sarhad-e-dard se ye kis ki sada aati hai...
Asrarul Haq Majaz
phir miri aankh ho gai namnak phir kisi ne mizaj puchha hai...
Siraj Aurangabadi
Duub jaata hai mira ji jo kahun qissa-e-dard niind aati hai mujhi kun mire afsane mein...
Shahryar
ab ji ke bahalne ki hai ek yahi surat biiti hui kuchh baaten ham yaad karen phir se...
Shahryar
ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote ik pal bhi agar bhuul se ham so gae hote...
Shahryar
khajil charaghon se ahl-e-vafa ko hona hai ki sarfaraz yahan phir hava ko hona hai...
Kaleem Aajiz
bahut dushvar samjhane hai gham ka samajh lene mein dushvari nahin hai...
Kaleem Aajiz
vahi to umr mere dard-e-dil ki bhi hogi tire shabab ka ye kaun saal hai pyaare...
Iftikhar Arif
tum se bichhaD kar zinda hain jaan bahut sharminda hain...
Farhat Ehsas
vo chaand kah ke gaya tha ki aaj niklega to intizar mein baiTha hua hun shaam se main...
Zafar Iqbal
muskurate hue milta hun kisi se jo 'zafar' saaf pahchan liya jaata hun roya hua main...
Zafar Iqbal
ek na-maujudgi rah jaegi chaaron taraf rafta rafta is qadar sunsan kar dega mujhe...
Arzoo Lakhnavi
maza barsaat ka chaho to in aankhon mein aa baiTho syahi hai safedi hai shafaq hai abr-e-baran hai...
Arzoo Lakhnavi
avval-e-shab vo bazm ki raunaq shama bhi thi parvana bhi raat ke aakhir hote hote khatm tha ye afsana bhi...
Shaikh Ibrahim Zauq
kahte hain aaj zauq jahan se guzar gaya kya khuub aadmi tha khuda maghfirat kare...
Shaikh Ibrahim Zauq
diin kyon ki na vo dagh-e-alam aur ziyada qimat mein baDhe dil ke diram aur ziyada...
Majrooh Sultanpuri
phir aai fasl ki manind barg-e-aavara hamare naam gulon ke muraslat chale...
Dushyant Kumar
yahan tak aate aate suukh jaati hain kai nadiyan mujhe maalum hai paani kahan Thahra hua hoga...
Hafeez Jalandhari
tanhai-e-firaq mein ummid baar-ha gum ho gai sukut ke hangama-zar mein...
Explore more on Diwan E Sukhan