DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Search
Poetry Collection
Ash'aar
Jawad Sheikh
Kitab film safar 'ishq sha'iri 'aurat Kahan kahan na gaya khud ko dhoondta hua main...
Abdul Hamid Adam
main yun talash-e-yaar mein deewana ho gaya kaabe mein paanv rakkha to but-khana ho gaya...
Ahmad Mushtaq
mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rahta hai wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai...
Ahmad Mushtaq
ye tanha raat ye gahri fazayen use dhoonden ki us ko bhool jaayen...
Ahmad Mushtaq
khoya hai kuchh zaroor jo us ki talash mein har cheez ko idhar se udhar kar rahe hain ham...
Ahmad Mushtaq
neendon mein phir raha hoon use dhoondta hua shamil jo ek khwab mire rat-jage mein tha...
Khalilur Rahman Azmi
na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi jise qareeb se dekha wo doosra nikla...
Khalilur Rahman Azmi
main kahan hoon kuchh bata de zindagi ai zindagi! phir sada apni suna de zindagi ai zindagi!...
Khalilur Rahman Azmi
bas ik husain ka kahin milta nahin suragh yun har gali yahan ki hamein karbala lagi...
Mohammad Alvi
dhoondta hoon main zameen achchhi si ye badan jis mein utara jaye...
Mohammad Alvi
dhoondne mein bhi maza aata hai koi shai rakh ke bhula di jaye...
Saleem Kausar
tamam umr sitare talash karta phira palat ke dekha to mahtab mere samne tha...
Shad Azimabadi
dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke soo-e-matloob gaya dariya se ye moti nikla tha dariya hi mein ja kar doob gaya...
Aziz Bano Darab Wafa
wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujh ko aur dhoondega kahin mere ilawa mujh ko...
Aziz Bano Darab Wafa
main kis zaban mein us ko kahan talash karun jo meri goonj ka lafzon se tarjuma kar de...
Aziz Bano Darab Wafa
us ki har baat samajh kar bhi main anjaan rahi chandni raat mein dhoonda kiya jugnu wo bhi...
Aziz Bano Darab Wafa
mar ke khud mein dafn ho jaungi main bhi ek din sab mujhe dhoondenge jab main rasta ho jaungi...
Explore more on Diwan E Sukhan