DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Social reality urdu
Poetry Collection
Ash'aar
Nida Fazli
zaruri kya har ik mahfil mein baiThen takalluf ki rava-dari se bachiye...
Nida Fazli
har jangal ki ek kahani vo hi bhenT vahi qurbani gungi bahri saari bheDen charvahon ki jagiren hain...
Munawwar Rana
so jaate hain footpath pe akhbar bichha kar mazdur kabhi niind ki goli nahin khaate...
Munawwar Rana
station se baahar aa kar buDhi aankhen soch rahi hain patte dehati rahte hain phal shahri ho jaate hain...
Mohsin Naqvi
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha...
Kishwar Naheed
javan gehun ke kheton ko dekh kar ro den vo laDkiyan ki jinhein bhuul baiThin maaen bhi...
Ameer Minai
vo phuul sar chaDha jo chaman se nikal gaya izzat use mili jo vatan se nikal gaya...
Ali Sardar Jafri
isi liye to hai zindan ko justuju meri ki muflisi ko sikhai hai sar-kashi main ne...
Siraj Aurangabadi
tahqiq ki nazar sin aakhir kun ham ne dekha akasr hain maal vaale kam hain kamal vaale...
Wali Dakni
muflisi sab bahaar khoti hai mard ka e'tibar khoti hai...
Shahryar
vo kaun tha vo kahan ka tha kya hua tha use suna hai aaj koi shakhs mar gaya yaaro...
Bahadur Shah Zafar
ghazab hai ki dil mein to rakkho kudurat karo munh pe ham se safai ki baaten...
Noshi Gilani
band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Daal diin kis ki rasmon ki jalti hui aag mein laDkiyan Daal diin...
Kaleem Aajiz
ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho lage hai aag ik ghar mein to ham-saya hava de hai...
Iftikhar Arif
ek ham hi to nahin hain jo uThate hain saval jitne hain khaak-basar shahr ke sab puchhte hain...
Iftikhar Arif
ye basti jaani pahchani bahut hai yahan vaadon ki arzani bahut hai...
Farhat Ehsas
aurten kaam pe nikli thiin badan ghar rakh kar jism khaali jo nazar aae to mard aa baiThe...
Muneer Niyazi
ab kisi mein agle vaqton ki vafa baaqi nahin sab qabile ek hain ab saari zaaten ek si...
Waseem Barelvi
shaam tak subh ki nazron se utar jaate hain itne samjhauton pe jiite hain ki mar jaate hain...
Waseem Barelvi
har shakhs dauDta hai yahan bhiiD ki taraf phir ye bhi chahta hai use rasta mile...
Waseem Barelvi
jhuuT ke aage pichhe dariya chalte hain sach bola to pyasa maara jaega...
Waseem Barelvi
gharib lahron pe pahre biThae jaate hain samundaron ki talashi koi nahin leta...
Zafar Iqbal
saaf-o-shaffaf thi paani ki tarah niyyat-e-dil dekhne valon ne dekha ise gadla kar ke...
Zafar Iqbal
chapatiyan thiin bandhi peT par magar shab-bhar ubharta Duubta main bhuuk ke bhanvar mein raha...
Arzoo Lakhnavi
had se Takrati hai jo shai vo palaTti hai zarur khud bhi roenge gharibon ko rulane vaale...
Majrooh Sultanpuri
jafa ke zikr pe tum kyun sambhal ke baiTh gae tumhaari baat nahin baat hai zamane ki...
Dushyant Kumar
azmat-e-mulk is siyasat ke haath nilam ho rahi hai ab...
Makhdoom Mohiuddin
diip jalte hain dilon mein ki chita jalti hai ab ki divali mein dekhenge ki kya hota hai...
Hafeez Jalandhari
aane vaale jaane vaale har zamane ke liye aadmi mazdur hai rahen banane ke liye...
Hafeez Jalandhari
ahbab ka shikva kya kijiye khud zahir o baatin ek nahin lab uupar uupar hanste hain dil andar andar rota hai...
Explore more on Diwan E Sukhan