DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Spiritual lines
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ye masail-e-tasavvuf ye tira bayan ghalib tujhe ham vali samajhte jo na baada-khvar hota...
Mirza Ghalib
vafa-dari ba-shart-e-ustuvari asl iman hai mare but-khane mein to kaabe mein gaDo birhman ko...
Meer Taqi Meer
miir bandon se kaam kab nikla mangna hai jo kuchh khuda se maang...
Meer Taqi Meer
sarapa aarzu hone ne banda kar diya ham ko vagarna ham khuda the gar dil-e-be-muddaa hote...
Allama Iqbal
jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada tira dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein...
Allama Iqbal
kushada dast-e-karam jab vo be-niyaz kare niyaz-mand na kyun aajizi pe naaz kare...
Momin Khan Momin
paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-vida momin khuda ko bhuul gae iztirab mein...
Sahir Ludhianvi
ye bhog bhi ek tapasya hai tum tyaag ke maare kya jaano apman rachaita ka hoga rachna ko agar Thukraoge...
Akbar Allahabadi
khuda se maang jo kuchh mangna hai ai akbar yahi vo dar hai ki zillat nahin saval ke baad...
Josh Malihabadi
ham aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye agar rasul na hote to subh kaafi thi...
Josh Malihabadi
guzar raha hai idhar se to muskurata ja charagh-e-majlis-e-ruhaniyan jalata ja...
Meer Anees
tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah bagh-e-jannat teri khatir karbala mere liye...
Jigar Moradabadi
allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin...
Hasrat Mohani
paigham-e-hayat-e-javedan tha har naghma-e-krishn bansuri ka...
Rahat Indori
ja-namazon ki tarah nuur mein ujlai sahar raat bhar jaise farishton ne ibadat ki hai...
Qateel Shifai
nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na but-khana to Thukrae hue insan khuda jaane kahan jaate...
Nida Fazli
ghar se masjid hai bahut duur chalo yun kar len kisi rote hue bachche ko hansaya jaae...
Munawwar Rana
phir karbala ke baad dikhai nahin diya aisa koi bhi shakhs ki pyasa kahen jise...
Shakeel Badayuni
dalil-e-tabish-e-iman hai kufr ka ehsas charagh shaam se pahle jala nahin karte...
Nasir Kazmi
o mere masruf khuda apni duniya dekh zara...
Gulzar
jab bhi ye dil udaas hota hai jaane kaun aas-paas hota hai...
Altaf Hussain Hali
yahi hai ibadat yahi diin o iiman ki kaam aae duniya mein insan ke insan...
Ameer Minai
jo chahiye so mangiye allah se ameer us dar pe aabru nahin jaati saval se...
Ameer Minai
taraf-e-kaaba na ja haj ke liye nadan hai ghaur kar dekh ki hai khana-e-dil maskan-e-dost...
Ameer Minai
na vaaiz hajv kar ek din duniya se jaana hai are munh saqi-e-kausar ko bhi aakhir dikhana hai...
Ameer Minai
mauquf jurm hi pe karam ka zuhur tha bande agar qusur na karte qusur tha...
Ameer Minai
saara parda hai dui ka jo ye parda uTh jaae gardan-e-shaikh mein zunnar barhaman Daale...
Siraj Aurangabadi
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taaq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi...
Siraj Aurangabadi
kufr-o-iman do nadi hain ishq kiin aakhirash dono ka sangam hovega...
Khwaja Meer Dard
hai ghalat gar guman mein kuchh hai tujh siva bhi jahan mein kuchh hai...
Khwaja Meer Dard
vahdat mein teri harf dui ka na aa sake aaina kya majaal tujhe munh dikha sake...
Mohammad Rafi Sauda
tanha tire maatam mein nahin shaam-e-siyah-posh rahta hai sada chaak garebaan-e-sahar bhi...
Muneer Niyazi
khaDa hun zer-e-falak gumbad-e-sada mein muneer ki jaise haath uTha ho koi dua ke liye...
Zafar Iqbal
vo maqamat-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus aur mira aise nishanat ka zair hona...
Arzoo Lakhnavi
halka tha nadamat se sarmaya ibadat ka ik qatre mein bah nikle tasbih ke sau daane...
Majrooh Sultanpuri
mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi vahi-e-ilahi hai mazhab to bas mazhab-e-dil hai baaqi sab gumrahi hai...
Ali Zaryoun
Dare huon ne tumhein bhi Dara diya varna khuda to pyaar sikhata hai kuchh nahin kahta...
Hafeez Jalandhari
koi chaara nahin dua ke siva koi sunta nahin khuda ke siva...
Hafeez Jalandhari
zindagi firdaus-e-gum-gashta ko paa sakti nahin maut hi aati hai ye manzil dikhane ke liye...
Explore more on Diwan E Sukhan