DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Sufi poetry
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
bana kar faqiron ka ham bhes ghalib tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain...
Meer Taqi Meer
tujh ko masjid hai mujh ko mai-khana vaiza apni apni qismat hai...
Jaun Elia
shab jo ham se hua muaf karo nahin pi thi bahak gae honge...
Jaun Elia
mujhe ab hosh aata ja raha hai khuda teri khudai ja rahi hai...
Jaun Elia
ham jo ab aadmi hain pahle kabhi jaam honge chhalak gae honge...
Momin Khan Momin
chal diye su-e-haram ku-e-butan se momin jab diya ranj buton ne to khuda yaad aaya...
Dagh Dehlvi
lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid haae kam-bakht tu ne pi hi nahin...
Jigar Moradabadi
pahle sharab ziist thi ab ziist hai sharab koi pila raha hai piye ja raha hun main...
Jigar Moradabadi
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid yahin kahin tiri jannat bhi paai jaati hai...
Hasrat Mohani
dil ko khayal-e-yaar ne makhmur kar diya saghar ko rang-e-bada ne pur-nur kar diya...
Shakeel Badayuni
tark-e-mai hi samajh ise naseh itni pi hai ki pi nahin jaati...
Shakeel Badayuni
pi shauq se vaaiz are kya baat hai Dar ki dozakh tire qabze mein hai jannat tire ghar ki...
Shakeel Badayuni
na paimane khanakte hain na daur-e-jaam chalta hai nai duniya ke rindon mein khuda ka naam chalta hai...
Ibn-e-Insha
yunhi to nahin dasht mein pahunche yunhi to nahin jog liya basti basti kanTe dekhe jangal jangal phuul miyan...
Zehra Nigah
basti mein kuchh log nirale ab bhi hain dekho khaali daman vaale ab bhi hain...
Ameer Minai
teri masjid mein vaaiz khaas hain auqat rahmat ke hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai...
Daya Shankar Naseem
chala dukhtar-e-raz ko le kar jo saaqi farishta hue saath ghar dekhne ko...
Siraj Aurangabadi
khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi...
Siraj Aurangabadi
niyaz-e-be-khudi behtar namaz-e-khud-numai sin na kar ham pukhta-maghzon sin khayal-e-kham ai vaaiz...
Siraj Aurangabadi
but-paraston kun hai iman-e-haqiqi vasl-e-but barg-e-gul hai bulbulon kun jald-e-quran-e-majid...
Siraj Aurangabadi
pech kha kha kar hamari aah mein girhen paDin hai yahi sumran tiri darkar koi maala nahin...
Wali Dakni
shaghl behtar hai ishq-bazi ka kya haqiqi o kya majazi ka...
Wali Dakni
ai 'vali' rakh dil mein aave vo sanam aahang-e-shauq naghma-e-ushshaq ka aave agar qanun mujhe...
Khwaja Meer Dard
tar-damani pe shaikh hamari na jaiyo daaman nichoD den to farishte vazu karen...
Khwaja Meer Dard
hai ghalat gar guman mein kuchh hai tujh siva bhi jahan mein kuchh hai...
Khwaja Meer Dard
saltanat par nahin hai kuchh mauquf jis ke haath aae jaam vo jam hai...
Khwaja Meer Dard
na rah jaave kahin tu zahida mahrum rahmat se gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko...
Bahadur Shah Zafar
but-parasti jis se hove haq-parasti ai zafar kya kahun tujh se ki vo tarz-e-parastish aur hai...
Mohammad Rafi Sauda
gharaz kufr se kuchh na diin se hai matlab tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain...
Mohammad Rafi Sauda
kya karunga le ke vaaiz haath se huuron ke jaam hun main saghar-kash kisi ke saghar-e-makhmur ka...
Mohammad Rafi Sauda
kiya azal se hai saanea ne but-parast mujhe kabhu buton se phirun main ye to khuda na kare...
Farhat Ehsas
nang dhaDang malang tarang mein aaega jo vahi kaam karenge kufr karenge jo aaya ji ji chaha to islam karenge...
Arzoo Lakhnavi
jo dil rakhte hain siine mein vo kafir ho nahin sakte mohabbat diin hoti hai vafa iman hoti hai...
Tehzeeb Hafi
Apni masti mein bahta dariya hoon Main kinara bhi hoon bhanwar bhi hoon...
Hafeez Jalandhari
but-kade se chale ho kaabe ko kya milega tumhein khuda ke siva...
Hafeez Jalandhari
qaaem kiya hai main ne adam ke vajud ko duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main...
Explore more on Diwan E Sukhan