DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Wonder
Poetry Collection
Ash'aar
Saleem Kausar
kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya...
Saleem Kausar
ek taraf tire husn ki hairat ek taraf duniya aur duniya mein der talak thahra nahin ja sakta...
Saleem Kausar
abhi hairat ziyada aur ujala kam rahega ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega...
Saqi Faruqi
hairani mein hoon aakhir kis ki parchhain hoon wo bhi dhyan mein aaya jis ka saaya koi na tha...
Shad Azimabadi
main hairat o hasrat ka maara khamosh khada hoon sahil par dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain ham...
Yagana Changezi
imtiyaz-e-soorat-o-maani se begana hua aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar...
Nazeer Akbarabadi
deewangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz hai halqa-e-zanjeer se zindan hama-tan-chashm...
Ismail Merathi
sab kuchh to kiya ham ne pa kuchh bhi na kiya haaye hairan hain kya jaaniye kya ho nahin sakta...
Explore more on Diwan E Sukhan