DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Youth

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
uqabi ruuh jab bedar hoti hai javanon mein nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein...
Allama Iqbal
haya nahin hai zamane ki aankh mein baaqi khuda kare ki javani tiri rahe be-dagh...
Jaun Elia
tera khayal khvab khvab khalvat-e-jaan ki aab-o-tab jism-e-jamil-e-o-naujavan shaam-ba-khair shab-ba-khair...
Firaq Gorakhpuri
raat bhi niind bhi kahani bhi haae kya chiiz hai javani bhi...
Firaq Gorakhpuri
kuchh na puchho firaq ahd-e-shabab raat hai niind hai kahani hai...
Josh Malihabadi
kaam hai mera taghayyur naam hai mera shabab mera nara inqilab o inqilab o inqilab...
Josh Malihabadi
shabab-e-rafta ke qadam ki chaap sun raha hun main nadim ahad-e-shauq ki sunae ja kahaniyan...
Jigar Moradabadi
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar phir bhi tira shabab tira hi shabab hai...
Ameer Minai
baaqi na dil mein koi bhi ya rab havas rahe chaudah baras ke sin mein vo lakhon baras rahe...
Ali Zaryoun
laDne ke liye hai na nasihat ke liye hai jis 'umr mein tum ho vo mohabbat ke liye hai...
Qamar Siddiqi
Junoon-e-ishq abhi baaqi hai mere seene mein Main haar kar bhi kabhi haar nahi maanta...
Abdul Hamid Adam
naujawani mein parsa hona kaisa kar-e-zaboon hai pyare...
Abdul Hamid Adam
wo ahd-e-jawani wo kharabat ka aalam naghmat mein doobi hui barsaat ka aalam...
Ahmad Mushtaq
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin umr bhar kaun jawan kaun haseen rahta hai...
Khalilur Rahman Azmi
hamare baad us marg-e-jawan ko kaun samjhega irada hai ki apna marsiya bhi aap hi likh lein...
Khumar Barabankavi
kya jawani gayi janab-e-'khumar' kaise tauba ki baat yaad aayi...
Shad Azimabadi
ek sitam aur laakh adaayein uf ree jawani haaye zamane tirchhi nigahein tang qabaayein uf ree jawani haaye zamane...
Yagana Changezi
jhaankne taakne ka waqt gaya ab wo ham hain na wo zamana hai...
Nazeer Akbarabadi
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqarat-u wo sarv-e-jawan yaaro man-fakhta-e-peeram...
Explore more on Diwan E Sukhan