DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Aansoo
Poetry Collection
Ash'aar
Sahir Ludhianvi
un ke rukhsar pe Dhalke hue aansu tauba main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha...
Firaq Gorakhpuri
tum ise shikva samajh kar kis liye sharma gae muddaton ke baad dekha tha to aansu aa gae...
Meer Anees
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhale na gae ye vo bachche hain jo maan baap se paale na gae...
Jigar Moradabadi
hasin teri aankhen hasin tere aansu yahin Duub jaane ko ji chahta hai...
Jigar Moradabadi
mohabbat mein ik aisa vaqt bhi dil par guzarta hai ki aansu khushk ho jaate hain tughyani nahin jaati...
Hasrat Mohani
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai ham ko ab tak aashiqi ka vo zamana yaad hai...
Bashir Badr
shabnam ke aansu phuul par ye to vahi qissa hua aankhen miri bhigi hui chehra tira utra hua...
Kaifi Azmi
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah ji khush to ho gaya magar aansu nikal paDe...
Kaifi Azmi
kya dard kisi ka lega koi itna to kisi mein dard nahin bahte hue aansu aur bahen ab aisi tasalli rahne do...
Munawwar Rana
ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona...
Munawwar Rana
nikalne hi nahin deti hain ashkon ko miri aankhen ki ye bachche hamesha maan ki nigarani mein rahte hain...
Nasir Kazmi
is qadar roya hun teri yaad mein aaine aankhon ke dhundle ho gae...
Gulzar
aankhon se aansuon ke marasim purane hain mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan...
Ibn-e-Insha
kaTne lagin raaten aankhon mein dekha nahin palkon par aksar ya sham-e-ghariban ka jugnu ya subh ka taara hota hai...
Ada Jafarey
aa dekh ki mere aansuon mein ye kis ka jamal aa gaya hai...
Ameer Minai
samajhta hun sabab kafir tire aansu nikalne ka dhuan lagta hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne ka...
Asrarul Haq Majaz
phir miri aankh ho gai namnak phir kisi ne mizaj puchha hai...
Siraj Aurangabadi
nahin bujhti hai pyaas aansu sin lekin karen kya ab to yaan paani yahi hai...
Shahryar
pahle nahai os mein phir aansuon mein raat yun bund bund utri hamare gharon mein raat...
Khwaja Meer Dard
dil bhi ai dard qatra-e-khun tha aansuon mein kahin gira hoga...
Kaleem Aajiz
ye aansu be-sabab jaari nahin hai mujhe rone ki bimari nahin hai...
Farhat Ehsas
meri ik umr aur ik ahd ki tarikh raqam hai jis par kaise rokun ki vo aansu miri aankhon se gira jaata hai...
Waseem Barelvi
vaise to ik aansu hi baha kar mujhe le jaae aise koi tufan hila bhi nahin sakta...
Arzoo Lakhnavi
nazar bacha ke jo aansu kiye the main ne paak khabar na thi yahi dhabbe banenge daaman ke...
Shaikh Ibrahim Zauq
ek aansu ne Duboya mujh ko un ki bazm mein buund bhar paani se saari aabru paani hui...
Ahmad Mushtaq
bahta aansoo ek jhalak mein kitne roop dikhayega aankh se ho kar gaal bhigo kar mitti mein mil jayega...
Ahmad Nadeem Qasmi
main to us waqt se darta hoon ki wo poochh na le ye agar zabt ka aansu hai to tapka kaise...
Khumar Barabankavi
ik aansoo kah gaya sab haal dil ka na samjha tha ye zaalim be-zaban hai...
Mohammad Alvi
roz achchhe nahin lagte aansoo khaas mauqon pe maza dete hain...
Saqi Faruqi
main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhoon aur aankhon ka khazana tha ki khaali nikla...
Shakeb Jalali
kya kahun deeda-e-tar ye to mira chehra hai sang kat jaate hain barish ki jahan dhaar gire...
Nazeer Akbarabadi
jo baat hijr ki aati to apne daaman se wo aansoo ponchhta jaata tha aur main rota tha...
Ghazalein
Kabhi Khud Pe Kabhi Haalat Pe Rona Aaya
(Sahir Ludhianvi)
Explore more on Diwan E Sukhan