DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Alienation
Poetry Collection
Ash'aar
Muneer Niyazi
aadat hi bana li hai tum ne to muneer apni jis shahr mein bhi rahna uktae hue rahna...
Majrooh Sultanpuri
zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh' ham ajnabi ki tarah apne hi vatan mein rahe...
Majrooh Sultanpuri
mere hi sang-o-khisht se taamir-e-baam-o-dar mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jaae...
Khalilur Rahman Azmi
hamein to raas na aayi kisi ki mahfil bhi koi khuda koi ham-saya-e-khuda nikla...
Saleem Kausar
duniya achchhi bhi nahin lagti ham aison ko 'saleem' aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta...
Saleem Kausar
ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin jo yahan aabad hain un par bhi ghar khulta nahin...
Shakeb Jalali
yun to saara chaman hamara hai phool jitne bhi hain paraye hain...
Yagana Changezi
watan se kya ki hawa-e-watan se hain bezar lipat rahe jo bagoolon se dasht-e-ghurbat ke...
Aziz Bano Darab Wafa
tamam umr kisi aur naam se mujh ko pukarta raha ik ajnabi zaban mein wo...
Aziz Bano Darab Wafa
main apne jism mein rahti hoon is takalluf se ki jaise aur kisi doosre ke ghar mein hoon...
Explore more on Diwan E Sukhan