DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Beauty appreciation
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phuul apni qabaen katar ke dekhte hain...
Ahmad Faraz
tere hote hue mahfil mein jalate hain charagh log kya saada hain suraj ko dikhate hain charagh...
Faiz Ahmad Faiz
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saya-e-tar to dekho...
Meer Taqi Meer
khilna kam kam kali ne sikha hai us ki aankhon ki niim-khvabi se...
Sahir Ludhianvi
tum husn ki khud ik duniya ho shayad ye tumhein malum nahin mahfil mein tumhaare aane se har chiiz pe nuur aa jaata hai...
Firaq Gorakhpuri
tum mukhatib bhi ho qarib bhi ho tum ko dekhen ki tum se baat karen...
Dagh Dehlvi
dekhna achchha nahin zaanu pe rakh kar aaina donon nazuk hain na rakhiyo aaine par aaina...
Jigar Moradabadi
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar phir bhi tira shabab tira hi shabab hai...
Jigar Moradabadi
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yaar ho jaae...
Qateel Shifai
uf vo marmar se tarasha hua shaffaf badan dekhne vaale use taj-mahal kahte hain...
Munawwar Rana
tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho tumhaara chahne vaala sharab piita hai...
Ibn-e-Insha
husn sab ko khuda nahin deta har kisi ki nazar nahin hoti...
Ameer Minai
hilal o badr donon mein ameer un ki tajalli hai ye khaka hai javani ka vo naqsha hai laDakpan ka...
Jan Nisar Akhtar
zulfen sina naaf kamar ek nadi mein kitne bhanvar...
Explore more on Diwan E Sukhan