DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Bekhudi
Poetry Collection
Ash'aar
Meer Taqi Meer
be-khudi le gai kahan ham ko der se intizar hai apna...
Nida Fazli
hosh valon ko khabar kya be-khudi kya chiiz hai ishq kiije phir samajhiye zindagi kya chiiz hai...
Zehra Nigah
mai-e-hayat mein shamil hai talkhi-e-dauran jabhi to pi ke taraste hain be-khudi ke liye...
Siraj Aurangabadi
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi...
Siraj Aurangabadi
niyaz-e-be-khudi behtar namaz-e-khud-numai sin na kar ham pukhta-maghzon sin khayal-e-kham ai vaaiz...
Siraj Aurangabadi
kiya hai jab sin amal be-khudi ke hakim ne khirad-nagar ki raiyat hui hai ru ba-gurez...
Muneer Niyazi
ye kaisa nashsha hai main kis ajab khumar mein hun tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun...
Arzoo Lakhnavi
mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair-mumkin hai baDhi jab be-khudi phir kaun Darta hai gunahon se...
Hafeez Jalandhari
haan kaif-e-be-khudi ki vo saat bhi yaad hai mahsus kar raha tha khuda ho gaya hun main...
Khumar Barabankavi
ab in hudud mein laaya hai intezar mujhe wo aa bhi jaayen to aaye na etibar mujhe...
Khumar Barabankavi
na to hosh se taaruf na junoon se aashnai ye kahan pahunch gaye hain tiri bazm se nikal ke...
Explore more on Diwan E Sukhan