DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Blood

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ragon mein dauDte phirne ke ham nahin qail jab aankh hi se na Tapka to phir lahu kya hai...
Faiz Ahmad Faiz
chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se dil ne lai badli to maddham hua har saaz ka rang...
Faiz Ahmad Faiz
na tan mein khuun faraham na ashk aankhon mein namaz-e-shauq to wajib hai be-vuzu hi sahi...
Rahat Indori
khayal tha ki ye pathrav rok den chal kar jo hosh aaya to dekha lahu lahu ham the...
Mohammad Rafi Sauda
gila likhun main agar teri bevafai ka lahu mein gharq safina ho aashnai ka...
Adil Mansuri
lahoo mein utarti rahi chandni badan raat ka kitna thanda laga...
Irfan Siddiqi
badan mein jaise lahoo taziyana ho gaya hai use gale se lagaye zamana ho gaya hai...
Irfan Siddiqi
dekhte hain to lahu jaise ragen todta hai ham to mar jayenge seene se laga kar us ko...
Irfan Siddiqi
ai lahu main tujhe maqtal se kahan le jaun apne manzar hi mein har rang bhala lagta hai...
Khalilur Rahman Azmi
hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq yaan shart hai ki apne lahu se wazu karo...
Khalilur Rahman Azmi
tiri sada ka hai sadiyon se intezar mujhe mire lahoo ke samundar zara pukaar mujhe...
Pirzada Qasim
khoon se jab jala diya ek diya bujha hua phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua...
Rajinder Manchanda Bani
wahi ik mausam-e-saffak tha andar bhi baahar bhi ajab sazish lahoo ki thi ajab fitna hawa ka tha...
Saghar Siddiqui
main ne jin ke liye raahon mein bichhaya tha lahoo ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin...
Shakeb Jalali
faseel-e-jism pe taaza lahoo ke chheente hain hudood-e-waqt se aage nikal gaya hai koi...
Yagana Changezi
sharbat ka ghoont jaan ke peeta hoon khoon-e-dil gham khate khate munh ka maza tak bigad gaya...
Nazeer Akbarabadi
miri is chashm-e-tar se abr-e-baran ko hai kya nisbat ki wo dariya ka paani aur ye khoon-e-dil hai barsati...
Nazeer Akbarabadi
jitne hain kushtagan-e-ishq un ke azal se hain mile ashk se ashk nam se nam khoon se khoon gil se gil...
Nazeer Akbarabadi
suno main khoon ko apne saath le aaya hoon aur baqi chale aate hain uthte baithte lakht-e-jigar peechhe...
Explore more on Diwan E Sukhan