DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Complaint

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
main bhi munh mein zaban rakhta hun kaash puchho ki muddaa kya hai...
Mirza Ghalib
karne gae the us se taghaful ka ham gila ki ek hi nigah ki bas khaak ho gae...
Ahmad Faraz
vo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai ki saari baat mohabbat mein rakh-rakhav ki thi...
Jaun Elia
kaise kahen ki tujh ko bhi ham se hai vasta koi tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya...
Dagh Dehlvi
arz-e-ahval ko gila samjhe kya kaha main ne aap kya samjhe...
Siraj Aurangabadi
nazar-e-taghaful-e-yaar ka gila kis zaban sin karun bayan ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi...
Arzoo Lakhnavi
kah ke ye aur kuchh kaha na gaya ki mujhe aap se shikayat hai...
Ahmad Mushtaq
tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se teri yahi marzi hai to achchha nahin milta...
Pirzada Qasim
tumhein jafa se na yun baaz aana chahiye tha abhi kuchh aur mira dil dukhana chahiye tha...
Saqi Faruqi
khuda ke waste mauqa na de shikayat ka ki dosti ki tarah dushmani nibhaya kar...
Saqi Faruqi
tum aur kisi ke ho to ham aur kisi ke aur donon hi qismat ki shikayat nahin karte...
Saqi Faruqi
ajab ki sabr ki miad badhti jaati hai ye kaun log hain fariyaad kyun nahin karte...
Nazeer Akbarabadi
tha irada tiri fariyaad karein hakim se wo bhi ai shokh tira chahne wala nikla...
Nazeer Akbarabadi
kyun nahin leta hamari tu khabar ai be-khabar kya tire aashiq hue the dard-o-gham khane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
kal shab-e-wasl mein kya jald baji thiin ghadiyan aaj kya mar gaye ghadiyal bajane wale...
Explore more on Diwan E Sukhan