DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dariya

Poetry Collection

Ash'aar

Jigar Moradabadi
kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyaas apni isi tapte hue sahra ko ham dariya samajhte hain...
Bashir Badr
ham bhi dariya hain hamein apna hunar malum hai jis taraf bhi chal paDenge rasta ho jaega...
Bashir Badr
agar fursat mile paani ki tahriron ko paDh lena har ik dariya hazaron saal ka afsana likhta hai...
Amjad Islam Amjad
ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin khul jaati hai dariya ki auqat samundar mein...
Amjad Islam Amjad
lahren uTh uTh ke magar us ka badan chuumti thiin vo jo paani mein gaya khuub hi dariya chamka...
Rahat Indori
bahut ghurur hai dariya ko apne hone par jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen...
Qateel Shifai
girte hain samundar mein baDe shauq se dariya lekin kisi dariya mein samundar nahin girta...
Altaf Hussain Hali
dariya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam kashti kisi ki paar ho ya darmiyan rahe...
Shahryar
shikva koi dariya ki ravani se nahin hai rishta hi miri pyaas ka paani se nahin hai...
Nadim Nadeem
Main jis dariya mein kanta dalta tha Suna hai ab wahan machhli nahin hai...
Nadim Nadeem
Kaise kaise log wujud ki zad mein aa kar mar gaye Is dariya ki bhent chadhe kaise kaise tairak...
Adil Mansuri
dariya ke kinare pe miri laash padi thi aur paani ki tah mein wo mujhe dhoond raha tha...
Ahmad Nadeem Qasmi
kaun kahta hai ki maut aayi to mar jaunga main to dariya hoon samundar mein utar jaunga...
Ahmad Nadeem Qasmi
main kashti mein akela to nahin hoon mire hamrah dariya ja raha hai...
Irfan Siddiqi
ajab nahin ki ye dariya nazar ka dhoka ho ajab nahin ki koi rasta nikal aaye...
Mohammad Alvi
aaj phir mujh se kaha dariya ne kya irada hai baha le jaun...
Saqi Faruqi
pyaas badhti ja rahi hai bahta dariya dekh kar bhagti jaati hain lahrein ye tamasha dekh kar...
Explore more on Diwan E Sukhan