DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Deep philosophy

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
be-khudi be-sabab nahin ghalib kuchh to hai jis ki parda-dari hai...
Mirza Ghalib
na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota...
Faiz Ahmad Faiz
unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junun ikhtiyar karte rahe...
Faiz Ahmad Faiz
jo talab pe ahd-e-vafa kiya to vo aabru-e-vafa gai sar-e-aam jab hue muddai to savab-e-sidq-o-vafa gaya...
Meer Taqi Meer
jaae hai ji najat ke gham mein aisi jannat gai jahannam mein...
Meer Taqi Meer
sarsari tum jahan se guzre varna har ja jahan-e-digar tha...
Allama Iqbal
achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de...
Allama Iqbal
tire aazad bandon ki na ye duniya na vo duniya yahan marne ki pabandi vahan jiine ki pabandi...
Jaun Elia
lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-aan ram-ba-ram main bhi guzishtagan mein hun tu bhi guzishtagan mein hai...
Momin Khan Momin
manga karenge ab se dua hijr-e-yaar ki aakhir to dushmani hai asar ko dua ke saath...
Momin Khan Momin
itni kudurat ashk mein hairan hun kya kahun dariya mein hai sarab ki dariya sarab mein...
Akbar Allahabadi
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua jo sama mein aa gaya phir vo khuda kyunkar hua...
Akbar Allahabadi
kuchh nahin kar-e-falak hadsa-pashi ke siva falsafa kuchh nahin alfaz-tarashi ke siva...
Akbar Allahabadi
uruj-e-qaumi zaval-e-qaumi khuda ki qudrat ke hain karishme hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political raha hai...
Josh Malihabadi
fughan ki mujh gharib ko hayat ka ye hukm hai samajh har ek raaz ko magar fareb khaae ja...
Josh Malihabadi
duniya ne fasanon ko bakhshi afsurda haqaeq ki talkhi aur ham ne haqaeq ke naqshe mein rang bhara afsanon ka...
Meer Anees
sivae khaak ke baaqi asar nishan se na the zamin se dab gae dabte jo aasman se na the...
Jigar Moradabadi
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain vaiz haqiqat khud ko manva leti hai maani nahin jaati...
Amjad Islam Amjad
gaahe gaahe hi sahi amjad magar ye vaaqia yun bhi lagta hai ki duniya ka khuda koi nahin...
Kaifi Azmi
belche laao kholo zamin ki tahen main kahan dafn hun kuchh pata to chale...
Nida Fazli
duniya jise kahte hain jaadu ka khilauna hai mil jaae to miTTi hai kho jaae to sona hai...
Nida Fazli
gham ho ki khushi donon kuchh duur ke saathi hain phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai...
Gulzar
yun bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsas to dariya ki ana ka hota...
Habib Jalib
kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanan kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanvaare...
Ibn-e-Insha
apne hamrah jo aate ho idhar se pahle dasht paDta hai miyan ishq mein ghar se pahle...
Noon Meem Rashid
pila saqiya mai-e-jaan pila ki main laun phir khabar-e-junun ye khirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junun...
Ada Jafarey
ye kis ne naqab apne rukh se ulaT di gale mil rahe hain baham kufr-o-iiman...
Siraj Aurangabadi
maktab mein mire junun ke majnun nadaan hai tifl-e-abjadi hai...
Shahryar
ajiib chiiz hai ye vaqt jis ko kahte hain ki aane paata nahin aur biit jaata hai...
Mohammad Rafi Sauda
sauda jo be-khabar hai vahi yaan kare hai aish mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi...
Mohammad Rafi Sauda
gar tujh mein hai vafa to jafakar kaun hai dil-dar tu hua to dil-azar kaun hai...
Mohammad Rafi Sauda
itna likhaiyo miri lauh-e-mazar par yaan tak na zi-hayat ko koi khafa kare...
Farhat Ehsas
bacha ke laaen kisi bhi yatim bachche ko aur us ke haath se takhliq-e-kainat karen...
Arzoo Lakhnavi
aap apne se barhami kaisi main nahin koi aur hai ye bhi...
Hafeez Jalandhari
qaaem kiya hai main ne adam ke vajud ko duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main...
Explore more on Diwan E Sukhan