DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Destruction

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
na samjhoge to miT jaoge ai hindostan vaalo tumhari dastan tak bhi na hogi dastanon mein...
Allama Iqbal
vatan ki fikr kar nadan musibat aane vaali hai tiri barbadiyon ke mashvare hain aasmanon mein...
Jaun Elia
ek hi havas rahi hai hamein apni halat tabah ki jaae...
Sahir Ludhianvi
zamin ne khuun ugla aasman ne aag barsai jab insanon ke dil badle to insanon pe kya guzri...
Amjad Islam Amjad
hamein hamari anaen tabah kar dengi mukalme ka agar silsila nahin karte...
Kaifi Azmi
peD ke kaTne valon ko ye malum to tha jism jal jaenge jab sar pe na saaya hoga...
Nasir Kazmi
tanab-e-khema-e-gul thaam nasir koi aandhi ufuq se aa rahi hai...
Mohsin Naqvi
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha...
Zafar Iqbal
kahan chali gaiin kar ke ye toD-phoD zafar vo bijliyan mire aasab se guzarte hue...
Jawad Sheikh
Tootne par koi aaye to phir aisa toote Ki jise dekh ke har dekhne wala toote...
Sudarshan Faakir
Zikr jab hoga mohabbat mein tabahi ka kahin Yaad ham aayenge duniya ko hawalo ki tarah...
Naseer Turabi
Ye hava saare charaghon ko uda le jayegi Raat dhalne tak yahan sab kuchh dhuan ho jayega...
Abdul Hamid Adam
dil khush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar meri tarah khuda ka bhi khana kharab hai...
Abdul Hamid Adam
tabah ho ke haqayeq ke khurdure-pan se tasawwurat ki tameer kar raha hoon main...
Ahmad Mushtaq
kaise aa sakti hai aisi dil-nasheen duniya ko maut kaun kahta hai ki ye sab kuchh fanaa ho jayega...
Irfan Siddiqi
hamein to khair bikharna hi tha kabhi na kabhi hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai...
Irfan Siddiqi
ham bhi patthar tum bhi patthar sab patthar takrao ham bhi tooten tum bhi tooto sab tooten aameen...
Irfan Siddiqi
mire guman ne mire sab yaqeen jala daale zara sa shoala bhari bastiyon ko chaat gaya...
Khalilur Rahman Azmi
ham ne to khud ko bhi mita daala tum ne to sirf bewafai ki...
Khumar Barabankavi
tujh ko barbad to hona tha bahar-haal 'khumar' naaz kar naaz ki us ne tujhe barbad kiya...
Khumar Barabankavi
sahra ko bahut naaz hai veerani pe apni waqif nahin shayad mire ujde hue ghar se...
Khumar Barabankavi
dekh kar barq ki pareshani aashiyan khud hi phoonk daala hai...
Mohammad Alvi
aaj phir mujh se kaha dariya ne kya irada hai baha le jaun...
Mohammad Alvi
mutmain hai wo bana kar duniya kaun hota hoon main dhane wala...
Mohammad Alvi
sadiyon se kinare pe khada sookh raha hai is shahr ko dariya mein gira dena chahiye...
Saleem Kausar
kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya...
Saqi Faruqi
abhi nazar mein thahar dhyan se utar ke na ja is ek aan mein sab kuchh tabah kar ke na ja...
Yagana Changezi
kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai ik taraf ujadti hai ek samt basti hai...
Yagana Changezi
dair o haram bhi dhah gaye jab dil nahin raha sab dekhte hi dekhte veerana ho gaya...
Yagana Changezi
rahegi chaar-deewar-e-anasir darmiyan kab tak uthega zalzala ik din isi baithe hue dil se...
Nazeer Akbarabadi
pukara qasid-e-ashk aaj fauj-e-gham ke hathon se hua taraj pahle shahr-e-jaan dil ka nagar peechhe...
Aziz Bano Darab Wafa
hamein di jayegi phansi hamare apne jismon mein ujadi hain tamannaon ki lakhon bastiyan ham ne...
Explore more on Diwan E Sukhan