DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dost

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
tum takalluf ko bhi iKHlas samajhte ho faraz dost hota nahin har haath milane vaala...
Ahmad Faraz
teri baaten hi sunane aae dost bhi dil hi dukhane aae...
Ahmad Faraz
kisi dushman ka koi tiir na pahuncha mujh tak dekhna ab ke mira dost kaman khenchta hai...
Ahmad Faraz
dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala vahi andaz hai zalim ka zamane vaala...
Jaun Elia
ham ko yaron ne yaad bhi na rakha jaun yaaron ke yaar the ham to...
Jaun Elia
mire harif miri yakka-taziyon pe nisar tamam umr halifon se jang ki main ne...
Parveen Shakir
dushmanon ke saath mere dost bhi aazad hain dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tiir kaun...
Firaq Gorakhpuri
main muddaton jiya hun kisi dost ke baghair ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair...
Dagh Dehlvi
vo zamana bhi tumhein yaad hai tum kahte the dost duniya mein nahin dagh se behtar apna...
Jigar Moradabadi
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrata hun main jaise har shai mein kisi shai ki kami paata hun main...
Bashir Badr
na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar kai saal baad mile hain ham tere naam aaj ki shaam hai...
Qateel Shifai
yun lage dost tira mujh se khafa ho jaana jis tarah phuul se khushbu ka juda ho jaana...
Qateel Shifai
vo mera dost hai saare jahan ko hai maalum dagha kare vo kisi se to sharm aae mujhe...
Shakeel Badayuni
mujhe dost kahne vaale zara dosti nibha de ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai...
Nasir Kazmi
vo koi dost tha achchhe dinon ka jo pichhli raat se yaad aa raha hai...
Habib Jalib
dushmanon ne jo dushmani ki hai doston ne bhi kya kami ki hai...
Kaleem Aajiz
din ek sitam ek sitam raat karo ho vo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho...
Kaleem Aajiz
yahi ham-nava yahi ham-sukhan yahi ham-nishaan yahi ham-vatan miri shairi hi bataegi mira naam kya hai pata hai kya?...
Arzoo Lakhnavi
dost ne dil ko toD ke naqsh-e-vafa miTa diya samjhe the ham jise khalil kaaba usi ne Dha diya...
Hafeez Jalandhari
dekha jo kha ke tiir kamin-gah ki taraf apne hi doston se mulaqat ho gai...
Naseer Turabi
Kahne ko gham-e-hijr bada dushman-e-jaan hai Par dost bhi is dost se behtar nahin milta...
Abdul Hamid Adam
ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uthane padte hain rahbar to faqat is raste mein do gaam sahara dete hain...
Khumar Barabankavi
dushmanon se pyaar hota jayega doston ko aazmate jaiye...
Khumar Barabankavi
hataye the jo raah se doston ki wo patthar mire ghar mein aane lage hain...
Khumar Barabankavi
yaad karne pe bhi dost aaye na yaad doston ke karam yaad aate rahe...
Khumar Barabankavi
ilahi mire dost hon khairiyat se ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain...
Khumar Barabankavi
dushmanon se pasheman hona pada hai doston ka khuloos aazmane ke baad...
Rajinder Manchanda Bani
ai dost main khamosh kisi dar se nahin tha qail hi tiri baat ka andar se nahin tha...
Ismail Merathi
ya wafa hi na thi zamane mein ya magar doston ne ki hi nahin...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan