DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dosti

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh koi chaara-saz hota koi gham-gusar hota...
Ahmad Faraz
agar tumhari ana hi ka hai saval to phir chalo main haath baDhata hun dosti ke liye...
Jaun Elia
main ab har shakhs se ukta chuka hun faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya...
Bashir Badr
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe jab kabhi ham dost ho jaen to sharminda na hon...
Bashir Badr
mohabbaton mein dikhave ki dosti na mila agar gale nahin milta to haath bhi na mila...
Rahat Indori
dosti jab kisi se ki jaae dushmanon ki bhi raae li jaae...
Gulzar
jab dosti hoti hai to dosti hoti hai aur dosti mein koi ehsan nahin hota...
Habib Jalib
log Darte hain dushmani se tiri ham tiri dosti se Darte hain...
Habib Jalib
tumhein to naaz bahut doston pe tha jalib alag-thalag se ho kya baat ho gai pyaare...
Khwaja Meer Dard
dushmani ne suna na hovega jo hamein dosti ne dikhlaya...
Sudarshan Faakir
Ye sikhaya hai dosti ne hamein Dost ban kar kabhi wafa na karo...
Sudarshan Faakir
Ham se poochho na dosti ka sila Dushmanon ka bhi dil hila dega...
Abdul Hamid Adam
dil abhi poori tarah toota nahin doston ki mehrbani chahiye...
Saqi Faruqi
khuda ke waste mauqa na de shikayat ka ki dosti ki tarah dushmani nibhaya kar...
Ismail Merathi
dosti aur kisi gharaz ke liye wo tijarat hai dosti hi nahin...
Explore more on Diwan E Sukhan