DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Doubt

Poetry Collection

Ash'aar

Firaq Gorakhpuri
sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin...
Amjad Islam Amjad
har baat jaante hue dil maanta na tha ham jaane etibar ke kis marhale mein the...
Irfan Siddiqi
mire guman ne mire sab yaqeen jala daale zara sa shoala bhari bastiyon ko chaat gaya...
Shariq Kaifi
kabhi khud ko chhoo kar nahin dekhta hoon khuda jaane kis wahm mein mubtala hoon...
Shariq Kaifi
log sah lete the hans kar kabhi be-zaari bhi ab to mashkook hui apni milan-saari bhi...
Yagana Changezi
dard ho to dawa bhi mumkin hai wahm ki kya dawa kare koi...
Yagana Changezi
khuda hi jaane 'yagana' main kaun hoon kya hoon khud apni zaat pe shak dil mein aaye hain kya kya...
Explore more on Diwan E Sukhan