DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Drowning

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
hue mar ke ham jo rusva hue kyun na gharq-e-dariya na kabhi janaza uThta na kahin mazar hota...
Allama Iqbal
mujhe rokega tu ai nakhuda kya gharq hone se ki jin ko Dubna hai Duub jaate hain safinon mein...
Jigar Moradabadi
hasin teri aankhen hasin tere aansu yahin Duub jaane ko ji chahta hai...
Jigar Moradabadi
ye raaz sun rahe hain ik mauj-e-dil-nashin se Duube hain ham jahan par ubhrenge phir vahin se...
Amjad Islam Amjad
baDe sukun se Duube the Dubne vaale jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi...
Kaifi Azmi
gar Dubna hi apna muqaddar hai to suno Duubenge ham zarur magar nakhuda ke saath...
Munawwar Rana
vahi hua ki main aankhon mein us ki Duub gaya vo kah raha tha bhanvar ka pata nahin chalta...
Gulzar
nakhuda dekh raha hai ki main girdab mein hun aur jo pul pe khaDe log hain akhbar se hain...
Zehra Nigah
lo Dubton ne dekh liya nakhuda ko aaj taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat ho gai...
Zafar Iqbal
haath pair aap hi main maar raha hun filhaal Duubte ko abhi tinke ka sahaara kam hai...
Nadim Nadeem
Kya naiyya aur kaisa khevayya chahne walo doob maro In aankhon ke dariyaon mein aaj bhanwar bharpur pade hain...
Abdul Hamid Adam
kashti chala raha hai magar kis ada ke saath ham bhi na doob jaayen kahin na-khuda ke saath...
Ahmad Mushtaq
ye paani khamushi se bah raha hai ise dekhen ki is mein doob jaayen...
Irfan Siddiqi
tum suno ya na suno haath badhao na badhao doobte doobte ik baar pukarenge tumhein...
Irfan Siddiqi
ajab harif tha mere hi saath doob gaya mire safine ko gharqab dekhne ke liye...
Irfan Siddiqi
us ki aankhein hain ki ik doobne wala insan doosre doobne wale ko pukare jaise...
Khalilur Rahman Azmi
hamein na jaano faqat doobta hua lamha hamein yaqeen hai ki ham hi nishan-e-farda hain...
Saleem Kausar
pukarte hain unhein sahilon ke sannate jo log doob gaye kashtiyan banate hue...
Saghar Siddiqui
ye kinaron se khelne wale doob jaayen to kya tamasha ho...
Saqi Faruqi
doob jaane ka saliqa nahin aaya warna dil mein girdab the lahron ki nazar mein ham the...
Shad Azimabadi
dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke soo-e-matloob gaya dariya se ye moti nikla tha dariya hi mein ja kar doob gaya...
Shakeb Jalali
tu ne kaha na tha ki main kashti pe bojh hoon aankhon ko ab na dhaanp mujhe doobte bhi dekh...
Shariq Kaifi
wo basti na-khudaon ki thi lekin mile kuchh doobne wale wahan bhi...
Yagana Changezi
pukarta raha kis kis ko doobne wala khuda the itne magar koi aade aa na gaya...
Yagana Changezi
baaz aa sahil pe ghote khane wale baaz aa doob marne ka maza dariya-e-be-sahil mein hai...
Ismail Merathi
khwahishon ne dubo diya dil ko warna ye bahr-e-be-karan hota...
Aziz Bano Darab Wafa
wafa ke naam par paira kiye kachche ghade le kar duboya zindagi ko dastan-dar-dastan ham ne...
Explore more on Diwan E Sukhan