DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Ego
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
agar tumhari ana hi ka hai saval to phir chalo main haath baDhata hun dosti ke liye...
Ahmad Faraz
shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya...
Jaun Elia
main jo hun jaun-elia hun janab is ka behad lihaz kijiyega...
Jaun Elia
haan Thiik hai main apni ana ka mariz hun aakhir mire mizaj mein kyun dakhl de koi...
Amjad Islam Amjad
hamein hamari anaen tabah kar dengi mukalme ka agar silsila nahin karte...
Rahat Indori
vo chahta tha ki kaasa kharid le mera main us ke taaj ki qimat laga ke lauT aaya...
Ishrat Afreen
Aao zara si der ko hum hans-bol hi len Tum ko nahin manzoor hai achchha rahne do...
Sudarshan Faakir
Ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya Warna kya baat thi kis baat ne rone na diya...
Abdul Hamid Adam
shayad mujhe nikaal ke pachhta rahe hon aap mahfil mein is khayal se phir aa gaya hoon main...
Abdul Hamid Adam
haath se kho na baithna us ko itni khuddariyan nahin achchhi...
Adil Mansuri
allah jaane kis pe akadta tha raat din kuchh bhi nahin tha phir bhi bada bad-zaban tha...
Yagana Changezi
khudi ka nashsha chadha aap mein raha na gaya khuda bane the 'yagana' magar bana na gaya...
Nazeer Akbarabadi
the ham to khud-pasand bahut lekin ishq mein ab hai wahi pasand jo ho yaar ko pasand...
Aziz Bano Darab Wafa
wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujh ko aur dhoondega kahin mere ilawa mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan