DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Existential poetry
Poetry Collection
Ash'aar
Jaun Elia
go apne hazar naam rakh lun par apne siva main aur kya hun...
Jaun Elia
do jahan se guzar gaya phir bhi main raha khud ko umr bhar darpesh...
Sahir Ludhianvi
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun khalvat mein ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne...
Kaifi Azmi
na jaane kis ka saaya dil se guzra zara aavaz dena raazdaro...
Nida Fazli
kis se puchhun ki kahan gum hun kai barson se har jagah dhunDhta phirta hai mujhe ghar mera...
Nida Fazli
masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin vo khud khaDa hua hai qaza ki qatar mein...
Munawwar Rana
main isi miTTi se uTTha tha bagule ki tarah aur phir ik din isi miTTi mein miTTi mil gai...
Shakeel Badayuni
vahi karvan vahi raaste vahi zindagi vahi marhale magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin...
Nasir Kazmi
ye aap ham to bojh hain zamin ka zamin ka bojh uThane vaale kya hue...
Gulzar
aaina dekh kar tasalli hui ham ko is ghar mein jaanta hai koi...
Ada Jafarey
varna insan mar gaya hota koi be-naam justuju hai abhi...
Kishwar Naheed
apni be-chehragi chhupane ko aaine ko idhar udhar rakkha...
Fahmida Riaz
jo mujh mein chhupa mera gala ghonT raha hai ya vo koi iblis hai ya mera khuda hai...
Ameer Minai
qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka...
Asrarul Haq Majaz
chhup gae vo saaz-e-hasti chheD kar ab to bas aavaz hi aavaz hai...
Asrarul Haq Majaz
vaqt ki sai-e-musalsal kargar hoti gai zindagi lahza-ba-lahza mukhtasar hoti gai...
Shahryar
kya koi nai baat nazar aati hai ham mein aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai...
Shahryar
ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai hadd-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai...
Shahryar
umr-safar jaari hai bas ye khel dekhne ko ruuh badan ka bojh kahan tak kab tak Dhoti hai...
Khwaja Meer Dard
zindagi hai ya koi tufan hai! ham to is jiine ke hathon mar chale...
Khwaja Meer Dard
ham tujh se kis havas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen...
Khwaja Meer Dard
ne gul ko hai sabat na ham ko hai e'tibar kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karen...
Bahadur Shah Zafar
lagta nahin hai dil mira ujDe dayar mein kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein...
Kaleem Aajiz
talkhiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin zindagi dard-e-mohabbat ke siva kuchh bhi nahin...
Kaleem Aajiz
zindagi mail-e-fariyad-o-fughan aaj bhi hai kal bhi tha siine pe ik sang-e-giran aaj bhi hai...
Iftikhar Arif
mire khuda mujhe itna to mo'tabar kar de main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de...
Iftikhar Arif
duniya badal rahi hai zamane ke saath saath ab roz roz dekhne vaala kahan se laaen...
Iftikhar Arif
tamasha karne valon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga...
Iftikhar Arif
main apne khvab se kaT kar jiyun to mera khuda ujaaD de miri miTTi ko dar-ba-dar kar de...
Iftikhar Arif
main jis ko ek umr sambhale phira kiya miTTi bata rahi hai vo paikar mira na tha...
Farhat Ehsas
hamara zinda rahna aur marna ek jaisa hai ham apne yaum-e-paidaish ko bhi barsi samajhte hain...
Farhat Ehsas
ab dekhta hun main to vo asbaab hi nahin lagta hai raaste mein kahin khul gaya badan...
Farhat Ehsas
be-badan ruuh bane phirte rahoge kab tak jao chupke se kisi jism mein dakhil ho jao...
Muneer Niyazi
aadat hi bana li hai tum ne to muneer apni jis shahr mein bhi rahna uktae hue rahna...
Muneer Niyazi
vaqt kis tezi se guzra roz-marra mein muneer aaj kal hota gaya aur din hava hote gae...
Muneer Niyazi
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza kaTta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin...
Muneer Niyazi
hasti hi apni kya hai zamane ke samne ik khvab hain jahan mein bikhar jaaen ham to kya...
Muneer Niyazi
zinda logon ki bud-o-bash mein hain murda logon ki aadaten baaqi...
Zafar Iqbal
main kisi aur zamane ke liye hun shayad is zamane mein hai mushkil mira zahir hona...
Zafar Iqbal
vidaa karti hai rozana zindagi mujh ko main roz maut ke manjhdhar se nikalta hun...
Zafar Iqbal
aage baDhun to zard ghaTa mere ru-ba-ru pichhe muDun to gard-e-safar mere samne...
Zafar Iqbal
ik duur ke safar pe ravana bhi hun zafar sust-ul-vajud ghar mein paDa bhi hua hun main...
Shaikh Ibrahim Zauq
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaaenge mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaaenge...
Shaikh Ibrahim Zauq
kitne muflis ho gae kitne tavangar ho gae khaak mein jab mil gae donon barabar ho gae...
Shaikh Ibrahim Zauq
duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale...
Dushyant Kumar
ye saara jism jhuk kar bojh se dohra hua hoga main sajde mein nahin tha aap ko dhoka hua hoga...
Dushyant Kumar
vo aadmi nahin hai mukammal bayan hai maathe pe us ke choT ka gahra nishan hai...
Hafeez Jalandhari
mujhe to is khabar ne kho diya hai suna hai main kahin paaya gaya hun...
Hafeez Jalandhari
supurd-e-khaak hi karna tha mujh ko to phir kaahe ko nahlaya gaya hun...
Explore more on Diwan E Sukhan