DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Finding god

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
jinhein main dhunDta tha aasmanon mein zaminon mein vo nikle mere zulmat-khana-e-dil ke makinon mein...
Jaun Elia
yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya...
Jaun Elia
mujh ko khvahish hi dhunDne ki na thi mujh mein khoya raha khuda mera...
Dagh Dehlvi
aashiqi se milega ai zahid bandagi se khuda nahin milta...
Akbar Allahabadi
falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin...
Kaifi Azmi
ab aage jo bhi ho anjam dekha jaega khuda talash liya aur bandagi kar li...
Explore more on Diwan E Sukhan