DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Fire
Poetry Collection
Ash'aar
Tehzeeb Hafi
Parai aag pe roti nahin banaunga Main bheeg jaunga chhatri nahin banaunga...
Ishrat Afreen
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai Patthar beech aaina rakhna kitna mushkil hai...
Irfan Siddiqi
badan ke donon kinaron se jal raha hoon main ki chhoo raha hoon tujhe aur pighal raha hoon main...
Irfan Siddiqi
shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai wo magar khud ko jalana bhi nahin chahta hai...
Irfan Siddiqi
mire guman ne mire sab yaqeen jala daale zara sa shoala bhari bastiyon ko chaat gaya...
Khalilur Rahman Azmi
har ek lai meri ukhdi ukhdi si dil ka har taar jaise zakhmi ye kaun si aag jal rahi hai ye meri geeton ko kya hua hai...
Khumar Barabankavi
jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza ham se poochhiye...
Khumar Barabankavi
dekh kar barq ki pareshani aashiyan khud hi phoonk daala hai...
Mohammad Alvi
aag apne hi laga sakte hain ghair to sirf hawa dete hain...
Pirzada Qasim
shahr talab kare agar tum se ilaj-e-teeragi sahab-e-ikhtiyar ho aag laga diya karo...
Saleem Kausar
kabhi ishq karo aur phir dekho is aag mein jalte rahne se kabhi dil par aanch nahin aati kabhi rang kharab nahin hota...
Saleem Kausar
kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya...
Saleem Kausar
ye aag lagne se pahle ki baaz-gasht hai jo bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai...
Saqi Faruqi
aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho ruuh mein raushni lahje mein chamak paida ho...
Shakeb Jalali
khud apni aag se shayad gudaz ho jaayen parayi aag se kab sang-dil pighalte hain...
Nazeer Akbarabadi
mai bhi hai meena bhi hai saghar bhi hai saqi nahin dil mein aata hai laga dein aag mai-khane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
yun to ham the yunhi kuchh misl-e-anar-o-mahtab jab hamein aag dikhaye to tamasha nikla...
Aziz Bano Darab Wafa
mujhe kahan mire andar se wo nikalega parayi aag mein koi na haath daalega...
Aziz Bano Darab Wafa
pakadne wale hain sab kheme aag aur behosh pade hain qafila-salar mishalon ke qareeb...
Explore more on Diwan E Sukhan