DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Hausla

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
tu mohabbat se koi chaal to chal haar jaane ka hausla hai mujhe...
Faiz Ahmad Faiz
ik fursat-e-gunah mili vo bhi chaar din dekhe hain ham ne hausle parvardigar ke...
Allama Iqbal
tu shahin hai parvaz hai kaam tera tire samne aasman aur bhi hain...
Allama Iqbal
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein...
Allama Iqbal
aain-e-javan-mardan haq-goi o be-baki allah ke sheron ko aati nahin rubahi...
Sahir Ludhianvi
hazar barq gire laakh aandhiyan uTThen vo phuul khil ke rahenge jo khilne vaale hain...
Akbar Allahabadi
log kahte hain badalta hai zamana sab ko mard vo hain jo zamane ko badal dete hain...
Jigar Moradabadi
apna zamana aap banate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamana bana gaya...
Jigar Moradabadi
jo tufanon mein palte ja rahe hain vahi duniya badalte ja rahe hain...
Altaf Hussain Hali
sada ek hi rukh nahin naav chalti chalo tum udhar ko hava ho jidhar ki...
Ada Jafarey
main aandhiyon ke paas talash-e-saba mein hun tum mujh se puchhte ho mira hausla hai kya...
Ameer Minai
tiir khaane ki havas hai to jigar paida kar sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar...
Jan Nisar Akhtar
itne mayus to haalat nahin log kis vaste ghabrae hain...
Ali Sardar Jafri
daaman jhaTak ke vaadi-e-gham se guzar gaya uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe...
Shahryar
siyah raat nahin leti naam Dhalne ka yahi to vaqt hai suraj tire nikalne ka...
Majrooh Sultanpuri
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjir na dekh...
Dushyant Kumar
mere siine mein nahin to tere siine mein sahi ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye...
Shakeel Azmi
Haar ho jaati hai jab maan liya jaata hai Jeet tab hoti hai jab thaan liya jaata hai...
Nadim Nadeem
Par kate panchhiyon se poochhte ho Tum mein udne ka hausla hai kya...
Abdul Hamid Adam
badh ke toofan ko aaghosh mein le le apni doobne wale tire haath se sahil to gaya...
Abdul Hamid Adam
lazzat-e-gham to bakhsh di us ne hausle bhi adam diye hote...
Adil Mansuri
mere toote hausle ke par nikalte dekh kar us ne deewaron ko apni aur ooncha kar diya...
Yagana Changezi
musibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jayega mujhe sar maar kar teshe se mar jaana nahin aata...
Explore more on Diwan E Sukhan