DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Humility

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki nahin milta ye gauhar badshahon ke khazinon mein...
Allama Iqbal
kushada dast-e-karam jab vo be-niyaz kare niyaz-mand na kyun aajizi pe naaz kare...
Munawwar Rana
tere daman mein sitare hain to honge ai falak mujh ko apni maan ki maili oDhni achchhi lagi...
Altaf Hussain Hali
ham ne har adna ko aala kar diya khaksari apni kaam aai bahut...
Bahadur Shah Zafar
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kaash khaak-e-dar-e-janana banaya hota...
Shaikh Ibrahim Zauq
tavazo ka tariqa sahibo puchho surahi se ki jaari faiz bhi hai aur jhuki jaati hai gardan bhi...
Shaikh Ibrahim Zauq
lete hain samar shakh-e-samarvar ko jhuka kar jhukte hain sakhi vaqt-e-karam aur ziyada...
Adil Mansuri
kabhi khaak walon ki baatein bhi sun kabhi aasmanon se neeche utar...
Saleem Kausar
qadmon mein saaye ki tarah raunde gaye hain ham ham se ziyada tera talabgar kaun hai...
Shad Azimabadi
tira aastan jo na mil saka tiri rahguzar ki zameen sahi hamein sajda karne se kaam hai jo wahan nahin to kahin sahi...
Explore more on Diwan E Sukhan