DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Iman

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr kaaba mire pichhe hai kalisa mire aage...
Mirza Ghalib
vafa-dari ba-shart-e-ustuvari asl iman hai mare but-khane mein to kaabe mein gaDo birhman ko...
Allama Iqbal
masjid to bana di shab bhar mein iman ki hararat valon ne man apna purana paapi hai barson mein namazi ban na saka...
Dagh Dehlvi
iman ki to ye hai ki iman ab kahan kafir bana gai tiri kafir-nazar mujhe...
Akbar Allahabadi
iman bechne pe hain ab sab tule hue lekin kharido ho jo aligarh ke bhaav se...
Siraj Aurangabadi
kahte hain tiri zulf kun dekh ahl-e-shariat qurban hai is kufr par iman hamara...
Siraj Aurangabadi
kufr-o-iman do nadi hain ishq kiin aakhirash dono ka sangam hovega...
Explore more on Diwan E Sukhan