DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Intoxication

Poetry Collection

Ash'aar

Zehra Nigah
mai-e-hayat mein shamil hai talkhi-e-dauran jabhi to pi ke taraste hain be-khudi ke liye...
Abdul Hamid Adam
dekha hai kis nigah se tu ne sitam-zarif mahsoos ho raha hai main gharq-e-sharab hoon...
Abdul Hamid Adam
aankhon se pilate raho saghar mein na daalo ab ham se koi jaam uthaya nahin jaata...
Adil Mansuri
nashsha sa dolta hai tire ang ang par jaise abhi bhigo ke nikala ho jaam se...
Khumar Barabankavi
khuda bachaye tiri mast mast aankhon se farishta ho to bahak jaye aadmi kya hai...
Khumar Barabankavi
haaye re wo madh-bhari aankhein 'khumar' mai-kade veeran nazar aaye hain...
Mohammad Alvi
abhi do chaar hi boondein giri hain magar mausam nasheela ho gaya hai...
Rajinder Manchanda Bani
maazi se ubhrin wo zinda tasveerein utar gaya sab nashsha naye purane ka...
Saghar Siddiqui
log kahte hain raat beet chuki mujh ko samjhao! main sharabi hoon...
Saghar Siddiqui
jab jaam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein ik hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye...
Shad Azimabadi
dekha kiye wo mast nigahon se baar baar jab tak sharab aayi kai daur ho gaye...
Ismail Merathi
jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li ta qayamat us pe hushyari haraam...
Explore more on Diwan E Sukhan