DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Kanta

Poetry Collection

Ash'aar

Jigar Moradabadi
bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre...
Jigar Moradabadi
gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz kanTon se bhi nibah kiye ja raha hun main...
Rahat Indori
na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega hamare paanv ka kanta hamin se niklega...
Shakeel Badayuni
kanTon se guzar jaata hun daaman ko bacha kar phulon ki siyasat se main begana nahin hun...
Ada Jafarey
kanTa sa jo chubha tha vo lau de gaya hai kya ghulta hua lahu mein ye khurshid sa hai kya...
Fahmida Riaz
chalte chalte kuchh tham jaana phir bojhal qadmon se chalna ye kaisi kasak si baaqi hai jab paanv mein vo kanTa bhi nahin...
Arzoo Lakhnavi
buri sarisht na badli jagah badalne se chaman mein aa ke bhi kanTa gulab ho na saka...
Saghar Siddiqui
kaante to khair kaante hain is ka gila hi kya phoolon ki wardat se ghabra ke pee gaya...
Explore more on Diwan E Sukhan