DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Kiss

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
dikha ke jumbish-e-lab hi tamam kar ham ko na de jo bosa to munh se kahin javab to de...
Jaun Elia
us ke honTon pe rakh ke honT apne baat hi ham tamam kar rahe hain...
Akbar Allahabadi
dhamka ke bose lunga rukh-e-rashk-e-mah ka chanda vasul hota hai sahab dabav se...
Munawwar Rana
mohabbat ek pakiza amal hai is liye shayad simaT kar sharm saari ek bose mein chali aai...
Munawwar Rana
miri hatheli pe honTon se aisi mohr laga ki umr bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaun...
Nasir Kazmi
ek dam us ke honT chuum liye ye mujhe baiThe baiThe kya sujhi...
Ameer Minai
bosa liya jo us lab-e-shirin ka mar gae di jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayat par...
Bahadur Shah Zafar
kya taab kya majaal hamari ki bosa len lab ko tumhaare lab se mila kar kahe baghair...
Farhat Ehsas
ek bose ke bhi nasib na hon honTh itne bhi ab gharib na hon...
Zafar Iqbal
badan ka saara lahu khinch ke aa gaya rukh par vo ek bosa hamein de ke surkh-ru hai bahut...
Shaikh Ibrahim Zauq
bosa jo rukh ka dete nahin lab ka dijiye ye hai masal ki phuul nahin pankhuDi sahi...
Adil Mansuri
ham ko gaali ke liye bhi lab hila sakte nahin ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya...
Irfan Siddiqi
udaas khushk labon par laraz raha hoga wo ek bosa jo ab tak miri jabeen pe nahin...
Saqi Faruqi
bujhe labon pe hai boson ki raakh bikhri hui main is bahaar mein ye raakh bhi uda doonga...
Shakeb Jalali
pahle to meri yaad se aayi haya unhein phir aaine mein choom liya apne-aap ko...
Shariq Kaifi
pata tha mujh ko mulaqat ghair-mumkin hai so tera dhyan kiya aur gulab choom liya...
Nazeer Akbarabadi
kal bosa-e-pa ham ne liya tha so na aaya shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa...
Explore more on Diwan E Sukhan