DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Light
Poetry Collection
Ash'aar
Allama Iqbal
guzar ja aql se aage ki ye nuur charagh-e-raah hai manzil nahin hai!...
Sahir Ludhianvi
tum husn ki khud ik duniya ho shayad ye tumhein malum nahin mahfil mein tumhaare aane se har chiiz pe nuur aa jaata hai...
Tehzeeb Hafi
Tumhein pata to chale be-zaban cheez ka dukh Main ab charagh ki lau hi nahin banaunga...
Tehzeeb Hafi
Us ki zaban mein itna asar hai ki nisf shab Wo raushni ki baat kare aur diya jale...
Athar Aalam
Mujhe maloom hai mujhe kam padegi yeh roshni Main sahar ki talash mein hoon charaghon pe inhisaar nahi hoon...
Ahmad Nadeem Qasmi
tum mire iradon ke dolte sitaron ko yaas ke khalaon mein rasta dikhate ho...
Khalilur Rahman Azmi
zindagi bhi mire nalon ki shanasa nikli dil jo toota to mire ghar mein koi shama jali...
Khumar Barabankavi
charaghon ke badle makan jal rahe hain naya hai zamana nai raushni hai...
Khumar Barabankavi
raushni ke liye dil jalana pada kaisi zulmat badhi tere jaane ke baad...
Khumar Barabankavi
ham bhi kar lein jo raushni ghar mein phir andhere kahan qayam karein...
Khumar Barabankavi
jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza ham se poochhiye...
Khumar Barabankavi
dam andhere mein ghut raha hai 'khumar' aur charon taraf ujala hai...
Khumar Barabankavi
ye charagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehman tu jala wo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke...
Mohammad Alvi
andhera hai kaise tira khat padhoon lifafe mein kuchh raushni bhej de...
Mohammad Alvi
kamre mein maze ki raushni ho achchhi si koi kitab dekhoon...
Mohammad Alvi
hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar paani mein raushni ko utarte hue bhi dekh...
Mohammad Alvi
khidkiyon se jhaankti hai raushni battiyan jalti hain ghar ghar raat mein...
Mohammad Alvi
raat kaun aaya tha kar gaya sahar raushan...
Mohammad Alvi
ghar ne apna hosh sambhala din nikla khidki mein bhar gaya ujala din nikla...
Rajinder Manchanda Bani
damak raha tha bahut yun to pairahan us ka zara se lams ne raushan kiya badan us ka...
Saleem Kausar
miri raushni tire khadd-o-khal se mukhtalif to nahin magar tu qareeb aa tujhe dekh lun tu wahi hai ya koi aur hai...
Saleem Kausar
abhi hairat ziyada aur ujala kam rahega ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega...
Saghar Siddiqui
charagh-e-toor jalao bada andhera hai zara naqab uthao bada andhera hai...
Saqi Faruqi
duniya pe apne ilm ki parchhaiyan na daal ai raushni-farosh andhera na kar abhi...
Saqi Faruqi
tere chehre pe ujale ki sakhawat aisi aur miri ruuh mein nadar andhera aisa...
Saqi Faruqi
aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho ruuh mein raushni lahje mein chamak paida ho...
Saqi Faruqi
naye charagh jala yaad ke kharabe mein watan mein raat sahi raushni manaya kar...
Shakeb Jalali
pyaar ki jot se ghar ghar hai charaghan warna ek bhi shama na raushan ho hawa ke dar se...
Shariq Kaifi
naya yun hai ki an-dekha hai sab kuchh yahan tak raushni aati kahan thi...
Shariq Kaifi
ruka mahfil mein itni der tak main ujalon ka budhapa dekh aaya...
Yagana Changezi
waiz ki aankhein khul gayin peete hi saqiya ye jaam-e-mai tha ya koi dariya-e-noor tha...
Ismail Merathi
raushan hai aaftab ki nisbat charagh se nisbat wahi hai aap mein aur aaftab mein...
Aziz Bano Darab Wafa
main raushni hoon to meri pahunch kahan tak hai kabhi charagh ke neeche bikhar ke dekhoongi...
Aziz Bano Darab Wafa
mire andar se yun phenki kisi ne raushni mujh par ki pal bhar mein miri saari haqeeqat khul gayi mujh par...
Aziz Bano Darab Wafa
bujha ke rakh gaya hai kaun mujh ko taaq-e-nisyan par mujhe andar se phoonke de rahi hai raushni meri...
Aziz Bano Darab Wafa
ab bhi khadi hai soch mein doobi ujyalon ka daan liye aaj bhi rekha paar hai ravan seeta ko samjhaye kaun...
Explore more on Diwan E Sukhan