DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Maut

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
maut ka ek din muayyan hai niind kyun raat bhar nahin aati...
Firaq Gorakhpuri
maut ka bhi ilaaj ho shayad zindagi ka koi ilaaj nahin...
Firaq Gorakhpuri
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka...
Firaq Gorakhpuri
kya jaaniye maut pahle kya thi ab meri hayat ho gai hai...
Akbar Allahabadi
aai hogi kisi ko hijr mein maut mujh ko to niind bhi nahin aati...
Akbar Allahabadi
maut aai ishq mein to hamein niind aa gai nikli badan se jaan to kanTa nikal gaya...
Jigar Moradabadi
maut kya ek lafz-e-be-maani jis ko maara hayat ne maara...
Jigar Moradabadi
dil ko sukun ruuh ko aaram aa gaya maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya...
Bashir Badr
rone valon ne uTha rakkha tha ghar sar par magar umr bhar ka jagne vala paDa sota raha...
Bashir Badr
vo jin ke zikr se ragon mein dauDti thiin bijliyan unhin ka haath ham ne chhu ke dekha kitna sard hai...
Kaifi Azmi
insan ki khvahishon ki koi intiha nahin do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad...
Kaifi Azmi
rahne ko sada dahr mein aata nahin koi tum jaise gae aise bhi jaata nahin koi...
Rahat Indori
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto dostana zindagi se maut se yaari rakkho...
Nida Fazli
masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin vo khud khaDa hua hai qaza ki qatar mein...
Munawwar Rana
miTTi ka badan kar diya miTTi ke havale miTTi ko kahin taj-mahal mein nahin rakkha...
Zafar Iqbal
vidaa karti hai rozana zindagi mujh ko main roz maut ke manjhdhar se nikalta hun...
Hafeez Jalandhari
be-taalluq zindagi achchhi nahin zindagi kya maut bhi achchhi nahin...
Hafeez Jalandhari
zindagi firdaus-e-gum-gashta ko paa sakti nahin maut hi aati hai ye manzil dikhane ke liye...
Ahmad Mushtaq
bala ki chamak us ke chehre pe thi mujhe kya khabar thi ki mar jayega...
Ahmad Nadeem Qasmi
kaun kahta hai ki maut aayi to mar jaunga main to dariya hoon samundar mein utar jaunga...
Khalilur Rahman Azmi
jaane kyun ik khayal sa aaya main na hoonga to kya kami hogi...
Khumar Barabankavi
maut aaye to din phiren shayad zindagi ne to maar daala hai...
Mohammad Alvi
maut bhi door bahut door kahin phirti hai kaun ab aa ke aseeron ko rihai dega...
Mohammad Alvi
maut na aayi to 'alvi' chhutti mein ghar jaayenge...
Mohammad Alvi
din dhal raha tha jab use dafna ke aaye the sooraj bhi tha malool zameen par jhuka hua...
Mohammad Alvi
main nahaq din kaat raha hoon kaun yahan sau saal jiya hai...
Saghar Siddiqui
maut kahte hain jis ko ai 'saghar' zindagi ki koi kadi hogi...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan