DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Moon

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
aashiqi mein miir jaise khvab mat dekha karo baavle ho jaoge mahtab mat dekha karo...
Meena Kumari Naaz
Chand tanha hai aasman tanha Dil mila hai kahan kahan tanha...
Adil Mansuri
wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya ye chaand kis ko dhoondne nikla hai shaam se...
Adil Mansuri
phir baalon mein raat hui phir haathon mein chaand khila...
Ahmad Mushtaq
chaand bhi nikla sitare bhi barabar nikle mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle...
Mohammad Alvi
yakka ulat ke rah gaya ghoda bhadak gaya kaali sadak pe chaand sa chehra chamak gaya...
Saleem Kausar
tamam umr sitare talash karta phira palat ke dekha to mahtab mere samne tha...
Shad Azimabadi
eid mein eid hui aish ka saaman dekha dekh kar chaand jo munh aap ka ai jaan dekha...
Shad Azimabadi
milega ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil halal karne mujhe eid ka hilal aaya...
Shakeb Jalali
gale mila na kabhi chaand bakht aisa tha hara-bhara badan apna darakht aisa tha...
Shariq Kaifi
wahan eid kya wahan deed kya jahan chaand raat na aayi ho...
Nazeer Akbarabadi
na itna zulm kar ai chandni bahr-e-khuda chhup ja tujhe dekhe se yaad aata hai mujh ko mahtab apna...
Nazeer Akbarabadi
yun to ham the yunhi kuchh misl-e-anar-o-mahtab jab hamein aag dikhaye to tamasha nikla...
Explore more on Diwan E Sukhan