DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Motivational

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
maana ki teri diid ke qabil nahin hun main tu mera shauq dekh mira intizar dekh...
Allama Iqbal
ghulami mein na kaam aati hain shamshiren na tadbiren jo ho zauq-e-yaqin paida to kaT jaati hain zanjiren...
Allama Iqbal
yaqin mohkam amal paiham mohabbat fatah-e-aalam jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamshiren...
Allama Iqbal
nigah buland sukhan dil-navaz jaan pur-soz yahi hai rakht-e-safar mir-e-karvan ke liye...
Allama Iqbal
attar ho rumi ho raazi ho ghazali ho kuchh haath nahin aata be-aah-e-sahar-gahi...
Akbar Allahabadi
naaz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein mard hain vo jo zamane ko badal dete hain...
Jigar Moradabadi
aabad agar na dil ho to barbad kijiye gulshan na ban sake to bayaban banaiye...
Rahat Indori
main mar jaun to meri ek alag pahchan likh dena lahu se meri peshani pe hindustan likh dena...
Nida Fazli
koshish bhi kar umiid bhi rakh rasta bhi chun phir is ke baad thoDa muqaddar talash kar...
Nida Fazli
itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hoga...
Shakeel Badayuni
chahiye khud pe yaqin-e-kamil hausla kis ka baDhata hai koi...
Bahadur Shah Zafar
daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere saath baad tere sab yahin ai be-khabar baT jaegi...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan