DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Namaz
Poetry Collection
Ash'aar
Allama Iqbal
jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada tira dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein...
Allama Iqbal
tera imam be-huzur teri namaz be-surur aisi namaz se guzar aise imam se guzar...
Dagh Dehlvi
vo din gae ki dagh thi har dam buton ki yaad paDhte hain panch vaqt ki ab to namaz ham...
Akbar Allahabadi
tayyar the namaz pe ham sun ke zikr-e-hur jalva buton ka dekh ke niyat badal gai...
Siraj Aurangabadi
vaqt hai ab namaz-e-maghrib ka chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam...
Siraj Aurangabadi
niyaz-e-be-khudi behtar namaz-e-khud-numai sin na kar ham pukhta-maghzon sin khayal-e-kham ai vaaiz...
Khalilur Rahman Azmi
hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq yaan shart hai ki apne lahu se wazu karo...
Mohammad Alvi
sab namazein baandh kar le jaunga main apne saath aur masjid ke liye goongi azaan rakh jaunga...
Explore more on Diwan E Sukhan