DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Nature poetry

Poetry Collection

Ash'aar

Meer Taqi Meer
kaha main ne kitna hai gul ka sabaat kali ne ye sun kar tabassum kiya...
Jaun Elia
hamla hai chaar su dar-o-divar-e-shahr ka sab jangalon ko shahr ke andar sameT lo...
Parveen Shakir
kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai chiDiyon ko bahut pyaar tha us buDhe shajar se...
Parveen Shakir
abr barse to inayat us ki shaakh to sirf dua karti hai...
Momin Khan Momin
Darta hun aasman se bijli na gir paDe sayyad ki nigah su-e-ashiyan nahin...
Hasrat Mohani
un ko yaan vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar jis qadar chahna phir baad mein barsa karna...
Kaifi Azmi
bahaar aae to mera salam kah dena mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne...
Nida Fazli
barsaat ka baadal to divana hai kya jaane kis raah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai...
Gulzar
apne maazi ki justuju mein bahaar piile patte talash karti hai...
Habib Jalib
aane vali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko ye barkha barsate din to bin piritam be-kaar gae...
Ada Jafarey
payam-e-zindagi-e-nau na ban sakin sad haif ye uudi uudi ghaTaen ye bhigi bhigi bahaar...
Ameer Minai
jis ghuncha-lab ko chheD diya khanda-zan hua jis gul pe ham ne rang jamaya chaman hua...
Ameer Minai
lachak hai shakhon mein jumbish hava se phulon mein bahaar jhuul rahi hai khushi ke phulon mein...
Daya Shankar Naseem
subh-dam ghaeb hue anjum to sabit ho gaya khanda-e-behuda par toDe gae dandan-e-subh...
Siraj Aurangabadi
kachehri mein chaman ki har taraf fariyad bulbul hai kiye ho in dino mein gul kun shayad pesh-kar apnan...
Wali Dakni
gul hue gharq aab-e-shabnam mein dekh us sahib-e-haya ki ada...
Kaleem Aajiz
ye kaisi bahaar-e-chaman aai ki chaman mein virana hi virana hai ta-hadd-e-nigah aaj...
Muneer Niyazi
chaand chaDhta dekhna behad samundar par muneer dekhna phir bahr ko us ki kashish se jaagta...
Muneer Niyazi
laai hai ab uDa ke gae mausamon ki baas barkha ki rut ka qahr hai aur ham hain dosto...
Muneer Niyazi
koyalen kukin bahut divar-e-gulshan ki taraf chaand damka hauz ke shaffaf paani mein bahut...
Zafar Iqbal
hava shakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe guzarte baadalon mein chaand hail hone vaala hai...
Zafar Iqbal
main khvab-e-sabz tha donon ke darmiyan zafar ki aasman tha sunahra zamin bhuri thi...
Arzoo Lakhnavi
ye gul khil raha hai vo murjha raha hai asar do tarah ke hava ek hi hai...
Explore more on Diwan E Sukhan