DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Numbness
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
aage aati thi haal-e-dil pe hansi ab kisi baat par nahin aati...
Jaun Elia
dil ki taklif kam nahin karte ab koi shikva ham nahin karte...
Jaun Elia
ye bahut gham ki baat ho shayad ab to gham bhi ganva chuka hun main...
Sahir Ludhianvi
gham aur khushi mein farq na mahsus ho jahan main dil ko us maqam pe laata chala gaya...
Firaq Gorakhpuri
ab to un ki yaad bhi aati nahin kitni tanha ho gain tanhaiyan...
Jigar Moradabadi
ab to ye bhi nahin raha ehsas dard hota hai ya nahin hota...
Qateel Shifai
thoDi si aur zakhm ko gahrai mil gai thoDa sa aur dard ka ehsas ghaT gaya...
Nida Fazli
ab khushi hai na koi dard rulane vaala ham ne apna liya har rang zamane vaala...
Shakeel Badayuni
ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe...
Nasir Kazmi
mujhe ye Dar hai tiri aarzu na miT jaae bahut dinon se tabiat miri udaas nahin...
Habib Jalib
na teri yaad na duniya ka gham na apna khayal ajiib surat-e-haalat ho gai pyaare...
Ada Jafarey
jo charagh saare bujha chuke unhein intizar kahan raha ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha...
Noshi Gilani
ye sardiyon ka udaas mausam ki dhaDkanen barf ho gai hain jab un ki yakh-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna...
Farhat Ehsas
ye shahr vo hai ki koi khushi to kya deta kisi ne dil bhi dukhaya nahin bahut din se...
Muneer Niyazi
zinda rahein to kya hai jo mar jaaen ham to kya duniya se khamushi se guzar jaaen ham to kya...
Pirzada Qasim
us ki khwahish hai ki ab log na roen na hansen be-hisi waqt ki aawaz bana di jaye...
Aziz Bano Darab Wafa
apni hasti ka kuchh ehsas to ho jaye mujhe aur nahin kuchh to koi maar hi daale mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan