DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Path

Poetry Collection

Ash'aar

Rahat Indori
ham se pahle bhi musafir kai guzre honge kam se kam raah ke patthar to haTaate jaate...
Shakeel Azmi
Jaane kaisa rishta hai rahguzar ka qadmon se Thak ke baith jaun to rasta bulata hai...
Shakeel Azmi
Phir yun hua thakan ka nasha aur badh gaya Aankhon mein doobta hua jaada laga hamein...
Naseer Turabi
Ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna Is raah mein sar milte hain patthar nahin milta...
Adil Mansuri
wo jaan-e-nau-bahar jidhar se guzar gaya pedon ne phool patton se rasta chhupa liya...
Ahmad Mushtaq
tire aane ka din hai tere raste mein bichhane ko chamakti dhoop mein saaye ikatthe kar raha hoon main...
Ahmad Mushtaq
kisi jaanib nahin khulte dariche kahin jaata nahin rasta hamara...
Irfan Siddiqi
ajab nahin ki ye dariya nazar ka dhoka ho ajab nahin ki koi rasta nikal aaye...
Irfan Siddiqi
main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun magar ye raah badan ki taraf se aati hai...
Irfan Siddiqi
abhi se rasta kyun rokne lagi duniya khade hue hain abhi apne ru-ba-ru ham log...
Irfan Siddiqi
rafaqaton ko zara sochne ka mauqa do ki is ke baad ghane jangalon ka rasta hai...
Khalilur Rahman Azmi
bane-banaye se raston ka silsila nikla naya safar bhi bahut hi gurez-pa nikla...
Khumar Barabankavi
o jaane wale aa ki tire intezar mein raste ko ghar banaye zamane guzar gaye...
Khumar Barabankavi
ye wafa ki sakht rahein ye tumhare paanv nazuk na lo intiqam mujh se mire saath saath chal ke...
Khumar Barabankavi
ye wafa ki sakht rahein ye tumhare pa-e-nazuk na lo intiqam mujh se mire saath saath chal ke...
Mohammad Alvi
kabhi to aisa bhi ho raah bhool jaun main nikal ke ghar se na phir apne ghar mein aaun main...
Mohammad Alvi
ham se jo aage gaye kitne mehrban the door talak raah mein ek bhi patthar na tha...
Mohammad Alvi
'alvi' ne aaj din mein kahani sunayi thi shayad isi wajah se main rasta bhatak gaya...
Rajinder Manchanda Bani
raah aasan dekh kar sab khush the phir main ne kaha soch leeje ek andaz-e-nazar mera bhi hai...
Rajinder Manchanda Bani
shamil hoon qaafile mein magar sar mein dhund hai shayad hai koi raah juda bhi mire liye...
Rajinder Manchanda Bani
qadam zameen pe na the raah ham badalte kya hawa bandhi thi yahan peeth par sambhalte kya...
Saqi Faruqi
tujh se milne ka rasta bas ek aur bichhadne ke raste hain bahut...
Shad Azimabadi
tira aastan jo na mil saka tiri rahguzar ki zameen sahi hamein sajda karne se kaam hai jo wahan nahin to kahin sahi...
Shad Azimabadi
kuchh aisa kar ki khuld aabad tak ai shad ja pahunchean abhi tak raah mein wo kar rahe hain intezar apna...
Shakeb Jalali
shakeb apne taaruf ke liye ye baat kaafi hai ham us se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jaye...
Shakeb Jalali
jo motiyon ki talab ne kabhi udaas kiya to ham bhi raah se kankar samet laaye bahut...
Shariq Kaifi
tiri tarah nahin aasan wapsi meri main raston ko samajhta hua nahin aaya...
Yagana Changezi
umeed-o-beem ne maara mujhe dorahe par kahan ke dair-o-haram ghar ka rasta na mila...
Nazeer Akbarabadi
abhi kahein to kisi ko na etibar aave ki ham ko raah mein ik aashna ne loot liya...
Nazeer Akbarabadi
door-az-tariq mujh ko samajhiyo na zahida gar tu khuda-parast hai main but-parast hoon...
Ismail Merathi
habs-e-davam to nahin duniya ki mar rahun kaahe ko ghar khayal karun rahguzar ko main...
Aziz Bano Darab Wafa
mar ke khud mein dafn ho jaungi main bhi ek din sab mujhe dhoondenge jab main rasta ho jaungi...
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar koi takta raha rasta us ka main hamesha ke liye rah gayi chilman ban ke...
Explore more on Diwan E Sukhan