DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Prayer

Poetry Collection

Ash'aar

Ameer Minai
tujh se mangu main tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaae sau savalon se yahi ek saval achchha hai...
Mohammad Rafi Sauda
ammame ko utaar ke paDhiyo namaz shaikh sajde se varna sar ko uThaya na jaega...
Mohammad Rafi Sauda
kiya azal se hai saanea ne but-parast mujhe kabhu buton se phirun main ye to khuda na kare...
Kaleem Aajiz
mira haal puchh ke ham-nashin mire soz-e-dil ko hava na de bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko khuda na de...
Ishrat Afreen
Tera naam likhti hain ungliyan khalaon mein Ye bhi ik dua hogi vasl ki duaon mein...
Ahmad Nadeem Qasmi
khuda kare ki tiri umr mein gine jaayen wo din jo ham ne tire hijr mein guzare the...
Irfan Siddiqi
ham kaun shanawar the ki yun paar utarte sookhe hue honton ki dua le gayi ham ko...
Irfan Siddiqi
ham bhi patthar tum bhi patthar sab patthar takrao ham bhi tooten tum bhi tooto sab tooten aameen...
Irfan Siddiqi
maula, phir mire sahra se bin barse baadal laut gaye khair shikayat koi nahin hai agle baras barsa dena...
Khumar Barabankavi
ilahi mire dost hon khairiyat se ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain...
Khumar Barabankavi
mujhe to un ki ibadat pe rahm aata hai jabeen ke saath jo sajde mein dil jhuka na sake...
Mohammad Alvi
us se mile zamana hua lekin aaj bhi dil se dua nikalti hai khush ho jahan bhi ho...
Mohammad Alvi
bahut nek bande hain ab bhi tire kisi par to ya-rab wahi bhej de...
Saleem Kausar
main kisi ke dast-e-talab mein hoon to kisi ke harf-e-dua mein hoon main naseeb hoon kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai...
Saleem Kausar
jo miri riyazat-e-neem-shab ko 'saleem' subh na mil saki to phir is ke maani to ye hue ki yahan khuda koi aur hai...
Saleem Kausar
'saleem' ab tak kisi ko ba-dua di to nahin lekin hamesha khush rahe jis ne hamara dil dukhaya hai...
Saleem Kausar
dast-e-dua ko kasa-e-sail samajhte ho tum dost ho to kyun nahin mushkil samajhte ho...
Yagana Changezi
maut maangi thi khudai to nahin maangi thi le dua kar chuke ab tark-e-dua karte hain...
Nazeer Akbarabadi
tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko ham itr lagate hain garmi mein isi khas ka...
Explore more on Diwan E Sukhan