DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Reflection

Poetry Collection

Ash'aar

Tehzeeb Hafi
Kai din us ke bhi sehraon mein guzre hain hafi So is nisbat se aaina hamara kya lagega...
Adil Mansuri
yaadon ne use tod diya maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhain padi thi...
Ahmad Mushtaq
paani mein aks aur kisi aasman ka hai ye naav kaun si hai ye dariya kahan ka hai...
Irfan Siddiqi
ham sab aaina-dar-aaina-dar-aaina hain kya khabar kaun kahan kis ki taraf dekhta hai...
Irfan Siddiqi
us ki aankhon mein na jaane aks kis ka tha magar ungliyon par ek lams-e-raegan mera bhi tha...
Khalilur Rahman Azmi
zara aa ke samne baith ja miri chashm-e-tar ke qareeb aa mire aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami...
Mohammad Alvi
bahut khush hue aaina dekh kar yahan koi saani hamara na tha...
Mohammad Alvi
dil ka aaina hua jaata hai dhundla dhundla kab tira aks ise apni safai dega...
Rajinder Manchanda Bani
wo ek aks ki pal bhar nazar mein thahra tha tamam umr ka ab silsila hai mere liye...
Saleem Kausar
main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai sar-e-aaina mira aks hai pas-e-aaina koi aur hai...
Saleem Kausar
aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir ham tire waste tayyar hua karte the...
Saleem Kausar
waqt ruk ruk ke jinhein dekhta rahta hai 'saleem' ye kabhi waqt ki raftar hua karte the...
Saqi Faruqi
hairani mein hoon aakhir kis ki parchhain hoon wo bhi dhyan mein aaya jis ka saaya koi na tha...
Shakeb Jalali
jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai miri tarah se akela dikhai deta hai...
Shariq Kaifi
bahut gadla tha paani us nadi ka magar main apna chehra dekh aaya...
Yagana Changezi
imtiyaz-e-soorat-o-maani se begana hua aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar...
Explore more on Diwan E Sukhan