DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Religious satire

Poetry Collection

Ash'aar

Shakeel Badayuni
sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat karte hain bandagi bhi jahannam ke Dar se ham...
Ameer Minai
sab hasin hain zahidon ko na-pasand ab koi huur aaegi un ke liye...
Ameer Minai
shaikh kahta hai barhaman ko barhaman us ko sakht kaaba o but-khana mein patthar hai patthar ka javab...
Ali Sardar Jafri
ye mai-kada hai yahan hain gunah jaam-ba-dast vo madrasa hai vo masjid vahan milega savab...
Siraj Aurangabadi
khul ga.e us ki zulf ke dekhe pech-e-dastar-e-zahid-e-makkar...
Siraj Aurangabadi
is adab-gah kun tun masjid-e-jaame mat buujh shaikh be-bak na ja gosha-e-mai-khane mein...
Siraj Aurangabadi
muvafaqat kare kyun mai-kashon sati zahid idhar sharab udhar masjid-o-musalla hai...
Wali Dakni
aaj teri bhavan ne masjid mein hosh khoya hai har namazi ka...
Bahadur Shah Zafar
khuda ke vaste zahid uTha parda na kabe ka kahin aisa na ho yaan bhi vahi kafir-sanam nikle...
Farhat Ehsas
phir soch ke ye sabr kiya ahl-e-havas ne bas ek mahina hi to ramzan rahega...
Zafar Iqbal
lagata phir raha hun aashiqon par kufr ke fatve 'zafar' vaaiz hun main aur khidmat-e-islam karta hun...
Zafar Iqbal
patang uDane se kya mana kar sake zahid ki us ki apni aba mein patang uDti hai...
Shaikh Ibrahim Zauq
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mulla un ko mai-khane mein le aao sanvar jaaenge...
Shaikh Ibrahim Zauq
rind-e-kharab-haal ko zahid na chheD tu tujh ko parai kya paDi apni nabeD tu...
Dushyant Kumar
ye log homo-havan mein yaqin rakhte hain chalo yahan se chalen haath jal na jaae kahin...
Makhdoom Mohiuddin
kaise hain khanqah mein arbab-e-khanqah kis haal mein hai piir-e-mughan dekhte chalen...
Explore more on Diwan E Sukhan